India

Tej Bahadur Supreme court se rujoo

By News Desk Roman Urdu

May 07, 2019

New Delhi : Uttar pradesh ki Varnasi nishist se wazeer-e-azam Narendra Modi  ke khilaaf intikhabi maidan mein utarney walay sarhadi salamti force ( BSF ) ke jawan Tej Bahadur yadav ne kaghzat namzadgi mustarid hone ke baad Supreme court se Ruju kiya hai. Samajwadi party ke ticket par kaghzat namzadgi daakhil karne walay Tej Bahadur ne intikhabi Officer ke zareya kaghzat kharij kardiye janay ke faisla ko challenge kiya hai. Tej Bahadur ki taraf se Maroof wakeel Prashat Bhushan ne arzi dair ki hai. arz guzaar ne intikhabi Officer ke yakum May ke is hukum par ek tarfa pabandi laganay ki darkhwast ki hai, jis ke tehat unki ( Tej Bahadur ki ) namzadgi kharij ki gayi hai .

Tej Bahadur ne pehlay aazad umeedwar ke tor par parcha daakhil kiya tha. is ke baad SP ne unhein apna umeed waar banaliya. Samajwadi party ne pehlay Shalini yadav ko ticket diya tha. Tej Bahadur ka parcha mustard honay ke baad ab Samajwadi party ki taraf se Shalini yadav Modi ke muqablay mein hain. wazeh rahay ke Tej Bahadur ke ek video ne tanaza paida kardia tha jis mein woh ilzaam lagatay hue keh kehrahe they ke BSF ke jawanu ko ghair mayaari khana diya jata hai. iske baad unhein BSF se bar tarf kardiya gaya tha. zila intikhabi ohdedar Surendar singh ne Tej Bahadur yadav ke zareya paish kiye gaye kaghzat namzadgi ke nishistoun mein khamion ke mad-e-nazar un se ek din baad NOC  daakhil karne ki hidaayat di gayi thi .

Tej Bahadur ne 24 April ko aazad umeedwar aur 29 April ko SP ke umeed waar ke tour par kaghzat namzadgi daakhil kiye they. Tej Bahadur ne BSF se barkhastgi ke talluq se dono kaghzat namzadgi mein alag alag daaway kiye they. is par zila intikhabi daftar ne Tej Bahadur ko notice jari karte hue NOC  jama karne ki hidaayat di thi. Tej Bahadur se kaha gaya tha ke woh BSF se is baat ka NOC  paish karen jis mein unki bartarfi ki wajah batayi gayi ho. zila magistrate Surendar Singh ne awaami numaindagi qanoon ki dafaa 9 aur dafa 33 ka hawala dete hue kaha kay Yadav ki namzadgi is liye Manzoor nahi ki gayi kyunkay woh muqarara waqt par zurori kaghzat paish nahi kar sakay . –YTN STAFF