Latest News

Taweel tareen daftari auqaat ke khilaaf khamosh inqilab ka aaghaz

By News Desk Roman Urdu

April 07, 2019

Beijing: Aksar mulazmeen 8 ghanton ki mulazmat se nalaan dikhaee dete hain aur unki khwahish hoti hai ke ghar se daftar anay aur jany ke auqaat ko bhi daftari auqaat mein shumaar kiya jaye aur isse unki mulazmat ke auqaat mein kami hogi lekin ab bazabta mulazmeen ki janib se daftari auqaat ke khilaaf ehtijaj shuru hochuka hai .

China mein Hitec mulazmeen ki janib se taweel daftari auqaat ke khilaaf ek online muhim chalaye ja rahi hai, jo badi taizi se maqbool ho rahi hai. is muhim se yeh andaza bhi hota hai ke China ki Hitec companian –apne mulazmeen se kitna ziyada kaam layte hain .

yeh online muhim jisay ICU.996 ka naam diya gaya hai, Micorsoft ki code sharing Website get hb .com par apne aaghaz ke waqt to bohat mamooli si thi lekin ab yeh bohat maqbool hochuki hai aur China mein twitter ke tarz par qaim Website webo par is baray mein bohat behas ho rahi hai. is mauzo har ek post ko das laakh se zayed sarfeen naay dekha hai .

ICU 996 se morad yeh hai ke agar aap subah 9 bajay se shaam 9 bajay tak musalsal 6 din kaam karte rahenge to aap aakhir kaar ICU ( hospital ke intahi nighdasht ke unit ) mein poanch jayenge. is muhim ka nishana China ki kuch sab se badi Hitec companian hain. muhim chalanay walon naay ek black list bhi banai hai jis mein mulazmeen se bohat ziyada kaam lainay wali companiyon ko is mein shaamil kardiya hai .

tehreek shuru karne walon ke bamuwajib yeh koi siyasi muhim nahi hai. unka maqsad sirf mazdooroun ke liye banaye gaye qawaneen ko nafiz karwana hai. China ke mazdooron ke qanoon ke mutabiq maalkin apne mulazmeen ko over time ke liye keh to satke hain lekin yeh over time ek mah mein 36 ghantay se ziyada nahi ho sakta. Ek haftay mein 72 ghantay kaam karwana khilaaf-e-qanoon hai lekin is ke bawajood bohat si companian mukhtalif tareeqay ikhtiyar kar ke qanoon ki girift se bach jati hain .

Hong kong ke china labour bulletin se wabsta Jeafri Crothal nay kaha hai ke Hitec companian bohat arsay se apne mulazmeen se taweel ghanton par mushtamil shift mein kaam le rahi hain. shuru mein to mulazmeen is liye izafi ghantay kaam karne par raazi ho jatay they kyunkay take companiyon ki tankhwahin doosri companiyon ke muqablay mein ziyada theen lekin ab maazi jaisi soorat e haal nahi rahi.

Ab mulazmeen ko doosri companiyon ke muqablay mein ziyada muawza nahi diya ja raha, is liye woh keh rahay hain ke jab muawza ziyada nahi hai to phir mein itna ziyada kaam kyun karein. China social media par sakht control karta hai jis ke asraat ab is muhim par bhi nazar anay shuru ho gaye hain. kuch internet Browser ke is online tehreek ko block karna.-YTN STAFF