Slider

Tashiri screen par ghalti se 8 Ghante fehash videos chalti rahen

By News Desk Roman Urdu

September 30, 2019

Auckland : Ghalti shayad chand seconds ya minutes mein Insaan se ghair danista tor par honay walay amal ko kehte hain lekin agar koi kaam musalsal 8 ghanton tak hota rahay to usay ghalti kahinge ya phir kuch aur yeh to qarayin hi faisla kar saktay hain lekin ek waqay mein Tashiri screen par kayi ghanton tak fehash film chalti rahi.

Newzealand ke sab se badey shehar Auckland mein sports masnoaat bananay wali japani company Asics ke store ke bahar lagi tashheer screen par kam se kam 8 ghanton tak fehash film ( porn videos ) dekh kar log haeran rehgay.

Mazkoorah store Auckland ki short land street mein waqay hai jiska shumaar shehar ke paash ilaaqon mein hota hai. Asics ke store ke bahar lagi badi tashheer LCD screen par 29 September ki subah ko achanak Porn videos chalna shuru huen, isse qabal screen par company ki tashhiri videos chalrahi theen.

Jis waqt tashhiri screen par Porn videos chalna shuru huien, is waqt store band tha, alawa azeen market ki beshtar dukanain bhi band theen. Asics shoes, trousers, shirts aur zair-e-jama sameit deegar sports masnoaat tayyar karti hai. tafseelaat ke mutabiq Asics store ke bahar nasb screen par taqreeban raat ek baje ke baad Porn videos chalna shuru huien jo subah 10 baje tak Nashar hoti rahen. market mein khulay aam lagi screen par Porn videos dekh kar wahan se guzarnay walay aam afraad haeran reh gay, taham baaz log un videos ko dekhnay ke liye wahan khadey rahay. screen par chalne wali videos ko dekhnay walay afraad mein kam Umar bachay, nojawan aur khawateen bhi shaamil theen.

Report ke mutabiq screen par chalti rehne wali Porn videos ko subah is waqt band kiya gaya jab sports company ke store mulazmeen wahan pohanche. Store ohdedaron ne ibtidayi tor par bataya ke unke computer system ko hack karkay na munasib videos chalaye gayeen. company ne logon se screen par Porn videos Nashar honay par mazirat karte hue kaha ke computer system ke hack kiye jane ki tafteesh ki ja rahi hai.

company aur store ohdedaron ke mutabiq unke system ko is waqt hack kiya gaya jab woh dukaan band karkay ja chuke they. wazeh rahay ke Asics Japan ki multi national sports masnoaat tayyar karne wali company hai, yeh company khaas tor par jootay, shirt aur sports zair-e-jama tayyar karti hai. is company ki masnoaat mehngi tareen sports masnoaat mein shumaar hoti hain. –YTN STAFF