India

Tamil Nadu mein muslim tanzeem ki janib se CAA ke khilaaf ehtijaj

By News Desk Roman Urdu

December 28, 2019

Chennai: Tamil Nadu ke Chennai mein haftay ke roz Tamil Nadu  Towheed Jamaath  jamaat ( TNTJ ) ke arkaan ne Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) aur National Register of Citizen ( NRC ) ke khilaaf ehtajaji muzahira kiya aur ek zabar dast rally nikaali.

Mazkorh rally mein TNTJ ke kuch membroun ke kunba ke afraad ne bhi shirkat ki. TNTJ ek ghair siyasi Islami tanzeem hai. Ek kaafi taweel qaumi parcham ko thaamay hue, Ek baday majmaa ne margazi aur Tamil Nadu hukoomat ke khilaaf naaray lagaye.

Alandur mein loog jama hue aur Tamil Nadu ke Governor, Banwarilal Purohit ki rahaish gaah Raj Bhavan ki taraf March kiya. Kuch deegar Muslim tanzeemoun ne bhi Chennai  collectorate ke bahar isi terhan ke muzahiray kiye.

Wazeh ho ke markazi hukoomat ki janib se mutanazia qanoon shehriat tarmeemi Act ( CAA ) aur National Register of Citizen ( NRC ) ke khilaaf mulk bhar mein ehtajaji muzahiray kiye ja rahay hain, Aur un mutanazia qawaneen ko mansookh karne ka hukoomat se mutalba kiya jaraha hai.

Mukhtalif siyasi qaideen, Secular afraad o aavam ka maanna hai ke CAA aur NRC, Hindustani aeen ki khilaaf warzi hai. aur mulk mein rehne walay bashindoun khaskar musalmanoun ke khilaaf hai. Jisay mansookh kiya jana chahiye. –YTN STAFF