Slider

Taliban ki aman mazakraat mein shirkat, Afghan hukoomat ka guraiz

By Abdul Aziz

August 23, 2018

America ko bhi mazakraat mein shirkat ki dawat. Afghanistan hukoomat, mazakraat mein hissa nahi le gi.

Afghan Taliban ney budh ko toseeq ki ke woh Rusia mein aindah mah munaqqid shudni aman mazakraat mein apne qasid rawana karen ge. Rusian wazeer kharja Sergey Lavrov ney kaha hai ke Afghan Taliban 4 September ko moscow mein honay walay aman mazakraat mein hissa len ge. Idhar Rusian wizarat kharja ki taraf se jari aik bayan mein kaha gaya hai ke aayindah mah Moscow mein honay walay aman mazakraat mein America samait 12 mumalik ko dawat di gayi hai. Moscow mein Afghan aman mazakraat is ka wazeh saboot hai ke Rusia ka Afghanistan mein kirdaar barh raha hai. Rusian wizarat kharja ney Afghan hukoomat ki taraf se teen mah ki mashroot jung bandi ki himayat ki hai magar Taliban is tajweez ko mustard kar chukay hain. Rusian wizarat kharja ke aik ohdedar Zamier Cabuloof ney kaha ke Moscow ney Taliban jinhein woh dehshat gard qarar day kar pabandiyan bhi laga chuka hai ko mazakraat mein shirkat ki dawat di hai. Rusian khabar rasan agency ‘Interfax’ ney Rusia mein Afghanistan ke safeer Abdul Qayyum Kochai ka aik bayan naqal kya hai jis mein un ka kehna hai ke Taliban ka Moscow mein aman mazakraat mein shirkat ka elaan musbit iqdaam hai aur Kabul is ka khair muqaddam karta hai. Kabul se Reuters ki ittila ke mutabiq Rusia ki janib se pehal kardah aman mazakraat mein Afghan hukoomat shirkat nahi kere gi. Khabar rasan agency ney hukoomat ke do senior ohdedaron ke hawala se kaha gaya ke Afghanistan , mazakraat mein hissa nahi le gajs ke baayis Mulk ke mustaqbil par tabadlah khayaal karne bain mumlikati Conference ke liye Rusia ke mansoobah par pani phirsakta hai. Afghanistan ke aik sarkardah Security ohdedar ki janib se is bayan ke kuch der baad hi hukoomat Afghan ka faisla samnay aaya hai jis mein unhon ney tawaqqa zahir ki thi ke kabul hukoomat ke sath aman mazakraat mein shaamil honay ke liye Rusia Taliban par dabao daaleyga.