Slider

Taliban ka Afghani shaher Ghazni pur hamla, darjanon afraad halaak

By Abdul Aziz

August 10, 2018

Police Headquarters samait kayi ahem sarkari dafatir par qabza kar lenay Taliban ka id-daa. Security Forces ke mutabiq shaher par hanoz Hukoomati Forces ka hi qabza hai. Taliban ko paspaa karne Amrici jungi tayyaron ke fazai hamlay. Ghazni ki galiyo aur sadkon par Taliban ki darjanon lashain padi rehne ka daawa.

Taliban ne mashriqi Afghanistan ke aik soobah Ghazni ke dar-al-hakoomat Ghazni par jumah ki subah mukhtalif simton se hamla kardiya hai, Taliban aur Hukoomati Forcess ke darmiyan shadeed jharpen jari hain. Sarkari dafatir par firing karte rahay aur Police Headquarters ka muhasra karliya gaya hai. Bataya jata hai ke Jaria mah ke avaakhr mein mutawaqqa jung bandi se qabal Afghan hukoomat par dabao banaye rakhnay Taliban yeh karwai ki hai. Ghazni shaher par subah ki awleen sa-aton se hi yeh hamlay shuru kar diye gay hain. media reports ke mutabiq Taliban aur Hukoomati Forcess ke darmiyan jhadpon mein darjanon afraad halaak aur so se zayed zakhmi ho chukay hain, jabkay Taliban hamla mein marnay walon mein 14 Security ahlkarbhi shaamil hain. Afghan media ke mutabiq Taliban ke hamla-aawaron ne mukhtalif simton se daakhil ho kar shaher par dhawa bol diya, Taliban ke hamlon ke baad kabul Ghazni Highway traffic ke liye band kardiya gaya hai. Doosri janib Ghazni Police cheif ka daawa hai ke Ghazni shaher par Hukoomati Forcess ka control ab bhi barqarar hai aur Hukoomati Forcess aur Taliban ke darmiyan jhadpen shaher se bahar ho rahi hain. Rukan Wifaqi Council Nasir Faqeeri ne kaha ke shaher ke klidi maqamat ko shorish pasandon ke control mein chalay jaaney se roknay ke liye Afghan military izafi forces ko taiynaat kar rahi hai. Taliban ke tarjuman Zabeehullah Mujahid ne twitter par kaha ke Taliban ne Ghazni mein hukoomat ke beshtar intizami dafatir par control haasil karliya hai jin mein Police Headquarters aur Police Stations bhi shaamil hain. darjanon sarkari Security Forces ke ahelkaar maaray gay hain. is ke barkhilaf aik sobai Security ohdedar ne tardeed ki hai ke Taliban jangju shaher Ghazni mein daakhil hue hain. sorat e haal pur aman hai albatta golion ki bochaaron ki aawazian suni gayeen, jo barri baat nahi hai. sobai governor ke tarjuman arif noori ne kaha ke mortar attack mein shahri makanaat aur army check points ko nishana banaya gaya hai aur Taliban jungjuon ki darjanon lashain galiyo par bikhri padi hain. Aljazeera ke mutabiq is jharap mein kam از kam 39 jangju aur 14 fouji halaak hue hain. yeh bhi it-tila-aat masool horahee hain ke Taliban ke hamla ko paspaa karne ke liye Amrici jungi tayyarah aur Helicopters ne fazai hamlay shuru kar diye hain.