Hyderabad

Talaq Ordinance se Muslim khawateen ki pareshaniyan badhengi: Asad Owaisi

By News Desk Roman Urdu

September 27, 2018

Hyderabad. Sadar Majlis Ittehad ul Muslimeen wo Rukn e Lok Sabha Hyderabad Barrister Asaduddin Owaisi ne aaj kaha ke hukoomat yeh ta-assur dainay ki koshish kar rahi hai ke Talaq Biddah(bayak waqt teen Talaq) Muslim khawateen ko adal dilaata hai jabkay haqeeqat is ke khilaaf hai. Iss Ordinance ke nifaaz ke baad se Muslim khawateen ki zindagi ajeeran ban jaye gi. Barrister Asaduddin Owaisi ne aaj daralslam mein aik press conference se khitaab karte hue kaha ke is Ordinance ki ru se shawahid ki farahmi shikayat kunindah khatoon ke supurd ki gayi hai jo iss ke liye nihayat hi mushkil hai. Isi tarha iss Ordinance ke mutabiq Talaq dainay wala shohar, apni mutalqa biwi aur bachon ke liye Maintenance ada karne ka paband hoga. Unhon ne istegfsaar kya ke jab kisi fard ko teen baras ke liye jail ki saza suna di jati hai to woh kaisay jail mein rehtay hue mutalqa biwi aur bachon ke masarif ada karne ka mukallif hoga? Aur jab woh shakhs teen saal ki saza bhugat kar jail se bahar aaye ga to kya yeh khatoon iss ka istaqbaal kar paye gi aur woh kya usay qubool karle ga? Jail ki saza khatam honay ke baad kya yeh dono aik khushaal zindagi basar kar paeinge? Unhon ne kaha ke agar hukoomat ko waqai aisi Muslim khawateen se hamdardi hai to usay chahiye ke aisi khawateen ke roz marrah ke akhrajaat ki pabajayee sarkari khazana se kare aur iss ke liye ibtida mein 500 crore rupay ka fund manzoor kare. Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke 2011 ki mardum shumari ke adaad wo shumaar ke mutabiq Mulk mein 24 lakh khawateen aisi hain jin ke shohar ne nah hi Talaq di aur nah hi un ki kifalat ki zimma daari bardasht ki hai. Un khawateen mein 22 lakh khawateen ghair Muslim hain. Hukoomat itni kaseer khawateen ke saath hamdardi ka muzahira kyun nahi kar rahi hai? Un ke liye kuch kayun nahi karti? Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke ghair fitri jinsi af-aal aur badkaari jo ab tak taazeeri juraim thae, Supreme Court ne inhen ghair taazeeri qarar dete hue jaayez qarar dae diya hai aur Nikah jo islam mein aik moahida hai jo deewaani noiyat ka haamil hota hai iss maamla mein taazeeri saza tajweez ki jarahi hai. Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke yeh ajeeb baat hai ke agar koi ghair Muslim apni biwi ko chod deta hai to iss ko aik saal ki saza hai aur ab wohi fayel koi Muslim karta hai to uss ke liye teen saal ki saza muqarrar ki gayi hai. Unhon ne istefsaar kya ke aik jaisay jurm ke liye saza mein imtiyaaz kayun barta gaya hai. Unhon ne aik sawal ke jawab mein yeh wazahat ki ke Talaq e Biddah par Muslim khawateen Adalat e Uzma se rujoo nahi hui balkay Adalat e Uzma ke sabiq judges ne jo aik Hindu ladki ke apne walidain ki jayidadon mein uss ke hissa ke liye daayer kardah darkhwast par faisla sunaate hue yeh kaha tha ke Muslim khawateen ke sath bhi na-insafi horahee hai aur hum iss ko mafaad e aamma ki darkhwast mutasswur karte hue is ki samaat karen ge aur phir kuch NGOs aur kuch Muslim khawateen adalat se rujoo hue. Yeh wohi judge sahiban thae jinhon ne SC, ST ke khilaaf mazalim ki rok thaam ke qanoon par faisla diya tha. Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke darasal Modi hukoomat sangeen awaami masayel jaisay corruption, mehengai waghera se awam ki tawajjuh hataane Talaq salasa ke masla ko istemaal kar rahi hai. Maulana Khalid Saifullah Rahmani ne kaha ke dastoor mein yeh wazahat ki gayi hai ke aisay qawaneen jo pehlay se mojood hain aur dastoor ke khilaaf nahi hon ge woh barqarar rahen ge. Shariat Application Act 1937 ko bhi isi liye barqarar rakha gaya tha aur qanoon ke tehat yeh tamaniat di gayi ke musalmanoon ke aayli 10 masail ki jin mein Nikah aur Talaq bhi shaamil hain, yaksoi sharai ehkaam ke mutabiq hogi. anho n ne kaha ke chor darwaaza ke zareya yeh Ordinance manzoor kya gaya hai. Jab is khsoos mein bil parliment mein paish kya gaya to oppostion partiyon ne is par aitraaz kya tha aur is ka jaiza lainay ke liye Slect committee se rujoo karne ki sifarish ki thi. unhon ne kaha kay Slect Committee se rujoo karne ki soorat mein bill ke barey mein aaraa paish karne ki Musalmanoon ko sahoolat haasil hoti thi magar Ordinance ki manzoori se qabl Modi hukoomat ne Musalmanoon ke ulama wo danishwaron se mushawarat karna munasib nahi samgha hatta ke Muslim khawateen ki kisi anjuman se bhi hukoomat ne mushawarat nahi ki. Janab Raheemuddin Ansari rukan Muslim Personal Law Board ne bataya ke Board ne Ordinance ke khilaaf kal shaam aik jalsa aam Darussalam Ground par rakha hai jis se Muslim personal law board ke zimma daar, ulama, mshaykhin aur Ikaber khitaab karen ge.