India

Talaq e Salasa: Magistrate ke zareya zamanat ki gunjayesh ko kaabeena ki manzoori

By Abdul Aziz

August 09, 2018

Khatoon ko na baligh bachon ki Hizanat ka haq talab karne aur apne aur apne aur apne zair e parwarish bachon ke liye naan nafqah ke liye Magistrate se rujoo honay ka bhi haq.

New Delhi. Markazi kaabeena ney apni biwion ko bayak waqt teen Talaq dainay ke qusoor-waar paye jane walay mardon ko zamanat ki farahmi ki gunjaish shaamil karne ki manzoori dey di hai. Sarkari zaraye ke bamawajib is jurm ko na qabil zamanat baqi rakhnay ke bawajood mulzim ko zamanat ataa karne ki Magistrate ko ijazat ki gunjayesh faraham ki gayi hai. Talaq salasa Bill ka maqsad Mardon ki janib se yaklakht Talaq e Salasa dainay sadiiyon puranay fayl ko kalaadam qarar dena hai. Yaad rahay ke Talaq e Salasa par Supreme Court ki Hidayat par guzishta baras Lok Sabha ney Nikah par Muslim khawateen ke huqooq ke tahaffuz ke bill ko manzoori dey di thi taham Modi Hukoomat ke liye uos waqt Rajia Sabha mein is Bill ko Manzoor karwana kuch dushwaar tha chunkay BJP ki zair e qiyadat NDA Hukoomat ko Rajya Sabha mein khatir khawha aksariyat haasil nahi thi. Opposition ki janib se is bill mein tarameem ke liye kiye jane walay mutalibaat mein aik zamanat ki gunjayish ki farahmi bhi tha. Aaj manzoori di gayi tarameem mein yeh hai ke Magistrate ko zamanat manzoor karne ke ikhtiyaraat haasil ho jaienge. Mujawwiza Qanoon ka itlaaq sirf Talaq salasa jisay ”Talaq bidat” bhi kaha jata hai par hi hoga aur yeh mutasirah khatoon yeh haq bhi ataa kere ga ke woh apne aur apne zair e parwarish bachon ke liye munasib naan o nafqah talab karte hue Magistrate se rujoo ho. Alawa azeen khatoon apne na baaligh bachon ke haq hizanat bhi Magistrate se talab kar sakti hai. Is mujawwiza Qanoon ke mutabiq Talaq salasa dainay ki soorat mein mulzim shohar ko teen saal ki saza hogi. Dabaoo ko door karte hue markazi wazeer qanoon Mr. Ravi Shankar Prasad ney aaj kaha ‘kaabeena ney Talaq se mutaliq mujawaza qanoon mein tarameem ko manzoori di hai. Agar koi shaohar apni biwi ko yaklakht teen Talaq dey deta hai to waisi soorat mein FIR isi soorat mein qabil dast andazi (Police ko baghair parwana giraftari ke girftar karne ka haq ) jurm hoga jab mutasirah khatoon ya is ke khooni rishta daar ya un ke nikah se judey huwa koi shakhs shikayat darj karta hai . Guzishta baras Supreme Court ney aik darkhwast ko darkhwast e aama ke taur par qubool karte hue aik tareekh saaz faisla sunaate hue bayak waqt di jane wali Talaq ko na sirf ghair Islami balkay ghair dastoori qarar dete hue kaladam qarar diya tha aur markazi hukoomat ko hidayat di thi ke is ziman mein munasib qanoon saazi ki jaye. Guzishta maah sadar Congress Mr. Rahul Gandhi ney Wazeer e Azam Mr. Narendra Modi ko aik maktoob rawana karte hue mutaliba kya tha ke Parliament ke manson ijlaas mein khawateen ko tahaffuz ke bil ki manzoori ko yakeeni banaya jaye. Aik din baad markazi wazeer qanoon mister rawi Shankar prasad naay maktoob ka jawab dete hue kaha tha ke khawateen ko tahaffuz, Talaq e salasa aur Nikah Halal se mutaliq bills ki manzoori ke liye aik dosray se haath milatay hue naye mamlaat kiye jayen.