Slider

Talaq Coach, Saudi Arab mein mutalqa afraad ki rahnumai ki anokhi tarkeeb

By News Desk Roman Urdu

August 27, 2020

Jeddah: Saudi Arab ke wizarat insaaf ki taaza tareen Report mein bataya gaya hai ke jaisay hi lockdown khatam huwa aur zindagi mamool par aana shuru hogayi Saudi Arab mein Talaq ki sharhen urooj par honay lagen. June mein Saudi Arab mein 4079 Talaq nama jari ke gaye jo kay April mein diye gaye 134 Talaq se 30 guna ziyada hai.

Achanak badhti huvi Talaq intahi hadd tak badh rahi hain jo haliya barson mein mumlikat mein Talaq ki sharah mein dramayi izafay ka aaina daar hai. Is muamlay ko ujagar karte hue ek Saudi samaji karobari aur Talaq nama ke coach nay logon ko is baat par qaboo panay mein madad dainay ke liye ek project ka aaghaz kiya.

Coach Ghazal Hashim ney 2017 mein apni dost Basma Bushnak jo ke maahir taleem hai un ke sath Turn the Page” podcast shuru ki. Podcast ney baad azan Hashim ko hosla afzai ki ke wo Coaching Business qaim kere jis par unhoun ney Nehayat Bedaya markaz qaim kiya jo Talaq se mutaliq umoor mein mahaarat rakhta hai.

Talaq ke baad zindagi ke masharti, Qanooni, Jazbati, pesha warana aur khandani challengon se nimatnay ke liye yeh raza karana iqdaam ab bhi wahid Arabi platform hai. Yeh khayaal is waqt shuru huwa jab Hashim aur Basmah ney dono ney maaon ki hesiyat se darpaish challengon par tabadlah khayaal karne ke liye mulaqaat ki. Baad azan unhoun ney apni terhan masail ka samnay karne walay doosron afraad ki madad ke baaray mein socha.

Hashim ney kaha ke hum ney pehlay kitaab likhnay ke baray mein socha tha, Lekin bohat saari guftagu aur mutalea ke baad hum ney ek Podcast muta-arif karne ka faisla kiya hai jahan hum dostana andaaz mein baat cheet kar saktay hain. Pehla waqea MSDF Network ke zareya 2017 mein nashar kiya gaya tha. Podcast ab apne chouthay season mein daakhil hochuka hai jis ke zareya Talaq aur mutaleqa afraad ke masail aur un ke hal ke liye tabadlah Khyaal kiya jata hai.

Podcast ke pehlay season mein khawateen par tavajja di gayi, Lekin jab dono maizbanon ko yeh maloom huwa ke Talaq Yafta mardon mein bhi masail ki kami nahi hai to unhoun ney behas mein mard mehmanon ko bhi shaamil karna shuru kiya. Hashim ney kaha ke wo logon ko Talaq lainay ki targheeb nahi dete balkay Talaq yafta mard aur khawateen dono ko masharti sharmindagi par qaboo panay aur etemad ke sath zindagi mein apna naya safar shuru karne mein madad ke liye apni koshisho ko waqf karte hain.

Unhoun neh kaha ke alehadgi ko nakami ke tor par nahi dekha jana chahiye. Jab shadi shuda zindagi namumkin hojati hai to Talaq zindagi mein dosra rasta reh jata hai jis ke baad misbet andaaz mein zindagi shuru ki ja sakti hai. Unhoun neh mazeed kaha ke Talaq se mutaliq badnuma daagh ko todna hai. Talaq ko ek buri cheez ke tor par dekha jata hai jis ke baare mein baat nahi ki jani jati jabkay haqeeqat mein yeh ek aisa masla hai jo hamaray muashray mein aala sharah par mojood hai. Aap ko shayad hi koi aisa khandan mil sakay jis mein ek bhi Talaq ka maamla nah ho.