India

Tableeghi Jamaat ke khilaaf WhatsApp par nafrat phelanay walay 7 afraad giraftar

By News Desk Roman Urdu

April 04, 2020

Ahmedabad: Hindustan mein Coronavirus ki dehshat ke douran Nizamuddin waqay Tableeghi Jamaat Markaz ko ghalat tareeqay se loog tanqeed ka nishana bana rahay hain aur Social Media par to Tableeghi Jamaat ke khilaaf nafrat angaiz muhim ka jaisay selaab aa chuka hai. Isi silsilay mein Gujrat Police ney 7 afraad ko giraftar kiya hai. Ye sabhi na sirf Tableeghi Jamaat ke khilaaf nafrat phela rahay they balkay logoun se ye Appeal bhi kar rahay they ke wo aqliati tabqa ( Musalmanoun ) ka Boycott karen.

Media zaraye ke mutabiq giraftar afraad ke khilaaf tazeerat Hind ki dafaa 505 ke tehat muqadma darj kiya gaya hai aur un 7 afraad ke alawa bhi 3 logoun par muqaddama darj huva hai lekin filhaal un ki giraftari amal mein nahi aayi hai. Bataya jata hai ke 7 afraad Gujrat ke Navsari, Jamnagar, Amreli, Anand aur Kutch zila se talluq rakhtay hain. Police ke mutabiq ashkhaas ke naam Riken Singhav ( 27 saal ), Umakant Rathod ( 50 saal ), Ratilal patel ( 70 saal ), Paras Vala  ( 39 saal ), Jayanti Giri ( 51 saal ), Neru Barwadi ( 30 saal ) aur Harish ( 42 ) hain.

Riken Singhav ka talluq Amreli se hai aur wo ek khangi Company mein kaam karta hai. Is ke baray mein Amreli  ke Police Superintendent Ner Lapat Ray ne kaha hai ke mulzim awam ko gumraah karne ke liye tazeerat Hind ki dafaa 505 ke tehat giraftar kiya gaya hai. Is par Disaster Managment Act bhi laga hai. Navsari ke rehne walay Umakant  aur Ratilal Patel ke baray mein Police ne kaha hai ke dono ne mukhtalif WhatsApp Group par nafrat angaiz paighamaat share kiye they. Navsari ke Deputy Police Superintendent SG Rana ne bataya ke Umakant  heera taraashney ka kaam karta hai jab ke Ratilal be rozgaar hai. Dono ko zamanat par choda gaya hai.

Deegar giraftar ashkhaas mein  Paras Vala Driver hai jab ke Jayanti Giri ek Businessman hai. Un dono ka talluq Jamnagar se hai. Anand ka rehne wala Neru Barwadi ek company mein mulazim hai aur Haresh Kutch ka rehaishi hai. Qabil zikar hai ke guzashta roz hi Ahmedabad Police ki Special Branch ne ek khat shehar ke sabhi Police station ko likha tha jis mein Tableeghi Jamaat se mutaliq WhatsApp par gasht kar rahay nafrat bharay paighamaat par karwai karne ki hidayat di thi. Police se kaha gaya tha ke kisi bhi nakhushgawaar waqea se bachney ke liye har terhan ke zurori iqdamaat kiye jayen. –YTN STAFF