Dubai: Pahelay T10 league ke markazi sponsor Heera Group ko is martaba door rakha gaya hai. Nowhera Shaik ke is group ke khilaaf Hindustaan mein maali be qaadgyon ke ilzamaat par tehqiqaat ka aaghaz kiya gaya hai jis ke paish e nazar iss martaba sponsorship ka haq nahi diya gaya. United Arab Emirate mein aayindah mah honey wali T10 league ke sarbarah Shajie ul Mulk ney League par kiye gay aiterazaat ko mustarad karte huwe kaha hai ke woh ICC aur Amarati Cricket Board ke saath mil kar kaam kar rahay hain jabkay ICC pahelay hi T10 League ki manzoori dey chuki hai. Shaji ul Mulk ka yeh bhi kahna tha ke T10 League ke baarey mein jo manfi baatai phailai ja rahi hain is ka jawab un ka legal department dey ga. Guzishta saal ke markazi sponsor ke khilaaf hind mein honey wali tehqiqaat ke baarey mein sawal par Shaji ul Mulk ney kaha ke yeh sponsor guzishta saal hamaray sath tha aur ham ney ICC ki Hidayat par usay is saal apne events mein shaamil nahi kiya hai. Pakistan Cricket Board ke zariye se maloom huwa hai ke Pakistan Cricket Board ke Anti Corruption unit ke sarbarah colonel Azam bhi is ziman mein ICC ke Anti Corruption Unit se rabita karkay T10 league se mutaliq maloomat haasil karne ki koshish kar chukay hain. Un mein qabil e zikar is league ke markazi sponsor ke khilaaf India mai honay wali tehqiqaat aur iss league ke aik franchaiz partners ki London mein mobayyana tor par money laundering yaad rahay ke Pakistan Cricket Board ke chairman Ahsaan maani ney kaha tha ke jab tak ICC T10 league ki shafafit ke baarey mein yaqeen dehani nahi karati woh apne khiladion ko kisi khatray mein nahi dalain ge.