Surat: Gujrat ke shehar Surat mein mangal ki subah Raghuvir textile market mein waqay ek 10 manzila imarat mein achanak aag bhadak uthi. Aag itni bhayanak thi ke is ko bujhanay ke liye 40 fire Engine mauqa par beje gaye. Aur Fire Engine aag par qaboo panay ki koshish kar rahay hain. Aag lagnay ki wajohaat ko pata nahi chal paaya hai. Aur nah hi ye pata chala hai ke aag itni bhayanak shakal kaise ikhtiyar ki. Is waqea mein kisi jani nuqsaan ki koi khabar nahi hai.
Wazeh ho ke, Is se qabal Surat ke ilaqa sar thaana mein waqay Takshela Complex ki doosri manzil par bhi khofnaak aag lagi thi, Is mein 20 afraad halaak ho gaye they. Is manzil mein Couching center chal raha tha, Jahan aag lagi thi. Aur coaching center mein mojood talba aag se bachney ke liye oopar se kood pade they, Jinhein tashweesh-naak haalat mein hospital mein daakhil karaya gaya tha.
Is waqea mein 20 afraad ki mout ho gayi thi. Gujrat High Court ne marnay waloun ke lawahiqeen ko 4 lakh rupiye x grishya dainay ka elaan kiya tha. Is waqea ke baad mangal ki subah ye waqea pesh aaya, Jis mein Raghuvir textile market mein waqay ek imarat mein bhayanak aag lagi hai. Bachao o raahat kaari ka kaam kiya ja raha hai. –YTN STAFF