India

Supreme Court ne Nirbhaya case mein Akshay ki sazaye mout par nazar sani ki darkhwast mustard kardiya

By News Desk Roman Urdu

December 18, 2019

New Delhi: Supreme Court ne charshumbe ke roz Nirbhaya gang rapes aur qatal case ke 4 mulzimien, Jinhein mout ki saza sunai gayi hai. Un mein se ek mulzim Akshay Kumar Singh ki saza par nazar sani ki darkhwast ko mustard kar diya hai. Akshay ki sazae mout bar-qarar rahaygi. Nirbhaya gang rapes aur qatal case mein mujrim qarar diye gaye Akshay Kumar Singh ki nazar sani darkhwast par Justice R. Banumathi, Justice Ashok Bhushan aur Justice A. S. Bopanna ke bench ne charshumbe ke roz samaat ki.

Adalat ne kaha ke is par nazar sani ki koi bunyaad nahi hai. Isi ke sath hi adalat ne kaha ke Trial court, high court aur Supreme Court pehlay hi sahih faisla day chuki hai. Supreme Court ke nazar sani darkhwast mustard karne ke baad, Nirbhaya ki walida ne kaha ke mein bohat khush hon. Acha huva ek qadam aur agay badh gaye. Is muamlay mein mujrimoun ki sazae mout bar-arar rakhnay ke liye adalat ke 2017 ke faislay ke khilaaf, mujrim Akshay Kumar Singh ki taraf se dobarah ghhor ki darkhwast dair ki gayi thi.

Akshay ki taraf se pesh hue advocate AP Singh ne samaat ke douran kaha ke is muamlay mein ab bhi media ka dabao hai. Is ke sath hi AP Singh ne tehqiqaat par sawalaat uthaye. Is par Supreme Court ne kaha ke jab adalat ka faisla agaya hai to phir hum ye naya fact kahan se lay.?

Justice Banumati ne kaha ke bench nayan bunyadoun par ghhor kiya hai, Jin ke liye darkhwast guzaar ne shawahid akhatta karne ke liye kaha hai, Aur is ki ijazat nahi hai. Akshay ke wakeel ne adalat ko bataya ke unka mokul sadar se reham ki darkhwast karna chahta hai, Aur is ne3 haftoun ka waqt manga hai. Supreme Court ne sadar ke samnay reham ki darkhwast dair karne ki aakhri tareekh par hukum paas karne se inkaar kar diya. –YTN STAFF