New Delhi: Delhi ke Nirbhaya case mein, Supreme court ne Nirbhaya ijtimai esmatdari aur qatal ke 2 mujrimoun ki curative petition ko kharij kar diya. Dono mujrimoun ki sazae mout bar qarar rakhi gayi hai. Phansi ki tareekh te honay ke baad mujrim Vinay Sharma aur Mukesh Singh ne Curative petition deer ki thi.
Supreme court ke paanchoun Judges ne Vinay Sharma aur Mukesh Singh ki mualjay ki darkhwast kharij kar di hai. Chember mein kiye gaye faisla mein kaha gaya hai ke darkhwast mein koyi bunyaad nahi hai. Dono mujrimoun ke liye aakhri qanooni darwaaza bhi band hogaya. Mujrimoun ki curative petition par Nirbhaya ki maa Asha Devi ne kaha ”mujrimoun ne phansi mein takheer kar ne ke liye petission daakhil ki hai. Mujhe poora bharosa ke 22 January ki subah charoun mujrimoun ko phansi patt latkaya jayega aur Nirbhaya ko insaaf mileyga“.
Justice N.V Ramana , Justice Arun Mishra, Justice R.F. Nariman, Justice R. Banumathi aur Justice Ashok Bhushan ke bench ne faisla sunaya hai. Wazeh ho ke Patiala house court ne charoun mujrimoun ko 22 January ki subah 7 bajey phansi dainay ke liye death warrant jari kiya hai. Dono mujrimoun ke paas sadar ke paas reham ki darkhwast dair karne ka ikhtiyar mojood hai. Baqi 2 mujrimoun Akshay aur Pawan ne abhi tak koi curative petition daakhil nahi kiya hai.
Adalat ki samaat se qabal, Nirbhaya case mein saza yafta Vinay Sharma ke wakeel, AP Singh ne bataya ke ”Ham ne petition mein kaha hai ke saal 2017 ke baad esmatdari aur qatal ke 17 muqadmaat hain, Jin mein Supreme court ne sazae mout sunai hai. Aur inhen omar qaid mein tabdeel kar diya gaya hai. Supreme court bhi is muamlay mein apne faislay par nazar sani kere. Is se agay hum sadar ko reham ki darkhwast bhi denge.
Doosri janib, Nirbhaya ijtimai esmatraizi aur qatal case mein sazayaftha charoun mujrimoun ko phansi dainay ki mashq ke tehat itwaar ke roz, Delhi ki Tihar jail mein’ Dummy’ phansi dede gaye. Is amal ke thehat charoun mujrimoun ke wazan ke mutabiq matti, pathar bharay gaye, Aur un boroun ko rassiyoun se latkaya gaya tha. Nirbhaya case mein mujrim Mukesh Singh, Vinay Sharmaa, Akshey Thakur aur Pawan Gupta ko 22 January ko phansi di jayegi. –YTN STAFF