India

Supreme Court ne Mahatma Gandhi ko Bharat Ratna dainay ki darkhwast ki samaat se kiya inkaar

By News Desk Roman Urdu

January 17, 2020

New Delhi: Supreme Court ne jummay ke roz Mahatma Gandhi ko Bharat Ratna ataa karne ki khwahish karne wali ek darkhwast ki samaat se inkaar kar diya hai. Supreme Court ne kaha ke wo is muamlay mein markazi hukoomat ko koi hidaayat nahi day satke.

Chief Justice S.A. Bobde, Justice  B.R. Gavai  aur Justice Surya Kant ki bench ne Anil Dat Sharma ki arzi ye kehte hue kharij kar di ke Mahatma Gandhi ko kisi ba qaida pehchan ki zaroorat nahi hai, Wo Babaye qoum hain, Aur un ko diya gaya babaye qoum laqab Bharat Ratna se kaafi bada hai. Poori duniya ke loog Mahatma Gandhi ka bohat ehtram karte hain.

Adalat ne arzi guzar se kaha ke wo un ke jaz baat ki qader karte hain. Is liye wo khud is baarey mein hukoomat ko arzidasht day satke hain, Arzi guzar ka kehna tha ke ab tak kayi logoun ko Bharat Tatna se nawaza ja chuka hai, Lekin Mahatma Gandhi ko abhi tak ye azaaz nahi diya gaya hai. Aur Babaye Qoum ko bhi ye aizaz milna chahiye.

Is baarey mean Justice S.A. Bobde ne kaha ”Aadalat is muamlay par samaat nahi kar sakti. Agar aap chahain to markazi hukoomat ko is baarey mean arzdasht saump satke hain. Hamari nazar mein Mahatma Gandhi Bharat Ratna se baday hain.

Mahatma Gandhi ke tanaza ke dar miyan guzashta chand dinoun mein Supreme Court ka tabsera bohat ahem hai. Bohat se loog vaqtan foqtan Mahatma Gandhi par sawal uthatay rahay hain. Haal hi mein BJP ke rukan parliament Pragya Singh Thakur ne Mahatma Gandhi ka qatal karne walay Nathoram Godse se ke baarey mein parliament mein ek bayan diya tha, Jis ki wajah se ka tanaza peda huva tha aur baad mein BJP rukan parliament ko maffi maangni padi thi. –YTN STAFF