New Delhi : Supreme court ne chaharshambe ke roz kaha ke woh hyderabad ke muzafaat mein ek khatoon Dr ke sath ijtemai Ismat darri aur iske qatal mein mulawis 4 mulzimoun ki police ”Encounter’ mein halakat ki tehqiqaat ke liye Supreme court ke ek retire judge ki taqarruri ki tajweez pesh ki hai. Supreme court ne chaharshambeh ko is maamla par samaat karte hue ye baat kahi.
Encounter ki jaanch ke liye abhi koi judge ka naam final nahi kiya gaya hai. lekin ittila ke mutabiq Supreme court ne riyasat se sabiq judge ka naam tajweez karne ko bhi kaha hai, aur kaha wo jumeraat ko is maamla par mazeed samaat karegi. cheif justice SA Bobde ki sirbarahi mein bench ne kaha hai ke’ woh is baat ka bhi jaiza legi ke Telangana high court ke zareya kiya nigrani ki jarahi hai.
Wazeh hoke, guzishta jummay ki subah ijtimai Ismat darri karne walay charoun mulziman Telangana police ke Encounter mein maaray gaye they. jiske baad se Telangana police mukhtalif sawalaat ki zad mein hai. cyberabad police kay khilaaf ek shikayat darj karate hue mazkoorah Encounter ko farzi bataya gaya hai.
mazkoorah Encounter ki jaanch ke liye qaumi insani haqooq commission ( NHRC ) bhi sirgaram hai. NHRC ne charoun mulzimin ke maaray janey par az khud notice letay hue jaanch ka hukum diya tha, aur guzishta hafta ko NHRC ki team ne Hyderabad pohanch kar jaanch bhi ki. sath hi team ne Mehboobnagar ke hospital ka bhi doura kiya, jahan charoun mulzimoun ki laashoun ko rakha gaya tha.
Wazeh hoke, 27 November ko Hyderabad ke muzafaat mein ek khatoon Veterinary dr ki ijtimai Ismat darri ke baad iska qatal kar diya gaya tha aur iski laash ko petrol dalkar jaladiya gaya tha aur ek naalay ke paas pheink diya gaya tha. police ne CCTV footage ki madad se 4 mulzimin, Mohammad arif, Naween , shiva aur keshavulu ko giraftar karliya tha. adalat ne inhen 14 dinoun ki Judicial remand mein bheja tha lekin jummay 6 decemeber ki subah Hyderabad se taqreeban 50 kilometer door chattanpalli mein police ke encounter mein halaak hogaye they. YTN STAFF