India

Supreme Court Ayodhya tanaza mein peer se Muslim Partiyon ke dalail samaat kere gi

By News Desk Roman Urdu

September 01, 2019

New Delhi: Supreme Court Ahyodhya tanaza mein Ram janambhoomi, Babri Masjid mein Muslim Partiyon ke dalail samaat peeir se shuru kere gi. Supreme Court ney tamam Hindu fareeqon ke dalail ki samaat mukammal kar liya hai. jin mein Nirmohi Akhara  Ram Lalla Virajman shaamil hain. Adalat ney 6 August se is maamla mein Roozana samaat ka aaghaz kya hai.

Suni waqf board ki numaindagi karne walay senior wakeel  Rajeev Dhavan peer ke roz is maamla mein Nirmohi Akhara aur Ram Lalla Virajman ke wukla ke dalail par nuqta Dur nuqta radd e amal den ge. Muslim jamaten guzashta 150 barson se mutanazia jagah par apni mojoodgi ka pata lagayen ge. Aur yeh bhi Daleel den ge ke mujasmay kabhi sehan ke andar nahi they, balkay inhen wahan rakha gaya tha.

Nirmohi Akhara ke wakeel adalat ko bataya tha ke 1934 se mutanazia maqam par koi namzadgi paish nahi ki gayi thi. lekin muslim jamaten adalat ko bitayen gi ke aakhiri  namaz wahan 16 decemeber 1949 ko padhi gayi thi.

Muslim jamaaton ney davon ka muqaabla karne ki apni hikmat e amli par tabsarah karne se inkaar kardiya lekin yeh maloom huwa hai ke woh Allahabad High Court ke Faisle ke pas manzar mein apne dalail mein behtari layein ge. woh itwaar ko is case ke mukhtalif pehluon par tabadlah khayaal ke liye aik meeting munaqqid kar rahay hain.

Pichlle 16 dinon se jari samaat ke douran, senior wakeel senior advocate C.S. Vaidyanathan, jo hindu jamaaton mein se aik ki numaindagi karte hain, ney apne muamlay ko hindu mazhab se mutaliq tareekhi matan aur hindustani asaar Qadima ke survey of India (ASI) ki reporton mein shaya kardah shawahid ke hawala se paish kya.

Vaidyanathan ney daawa kiya ke Babri Masjid ko hindu mandir ke khandrat par taamer kiya gaya tha. tawaqqa ki jati hai ke muslim partiyon ke paas is daaway ke tanazur mein thos dalail paish kiye jayen ge.

Allahabad High Court ney chaar civil qanooni muqadmaat se mutaliq apne 2010 ke faislay mein 2.77 aacker ke mutanazia araazi ko teen partiyon yani Ram Lalla Virajman, nar Nirmohi Akhara aur Suni waqf board mein taqseem kya tha. is ke baad high court ke is faislay ke khilaaf Supreme Court mein taqreeban 37 fareeqon se mutaliq chodah apilin dair ki gayeen.