Trending News

Sudan mein islahat ke liye awam ki badi rally

By News Desk Roman Urdu

July 01, 2020

Khartoum: Sudan mein sabiq sadar Omar al-Bashir  ki bartarfi ke baad hazaroun ki tadaad mein shehrioun ne coronavirus ke hifazati iqdamaat ki khilaaf warzi karte huve islahat ke liye badi rally nikaali. Tafseelaat ke mutabiq Sudan ke mukhtalif shehroun mein awaami hukmarani ka mutalba karte huve badi tadaad mein awam ne badi tadaad mein baher nikal kar jamhoriat ki mukammal bahaali par zor diya.

Sudan ke dar-ul-hukoomat Khartoum aur judwan shehroun mein awam ne hathoun mein qaumi parcham thamaay huve they jabkay hukoomat ki janib se dar-ul-hukoomat ki janib se jane walay tamam rastay band kardiye they. Darfur ke khittay ke baday shehar Kassala  mein bhi logoun ne ehtijaj kiya aur aazadi, Aman aur insaaf ke naaray lagaye jo Omar al-Bashir ke daur mein un ke khilaaf lagaye jatay they. Muzahireen ne tyre jala kar sadak ko bhi block kardiya.

Khayaal rahay ke Sudan mein 30 baras ke taweel arsay tak hukmarani karne walay Omar Al Bashir ko hataane ke baad fouj aur Technocrat ki mushtarqa hukoomat wujood mein aayi thi aur Abdalla Hamdok ko wazeer e azam muqarrar kiya gaya hai. Abdalla Hamdok ki hukoomat ko awaami ehtijaj ke baad muashi hawalay se sakht challenge ka saamna tha jo mazeed bad tareen shakal ikhtiyar kiya aur afraat zar mein 100 feesad tak izafah huwa.

Germany ki janib se guzashta haftay hukoomat ko muashi taawun ke liye 1.8 Arab Dollar faraham kiye gaye they lekin Hamdok ne kaha ke bohraan par qaboo panay ke liye mazeed 8 Arab Dollar ki zaroorat hai. Sudan ka muashi bohraan dunya bhar mein jari coronavirus ke waba ke baais mazeed pichidah hochuka hai. Guzashta baras September mein wazeer e azam ka halaf uthany ke baad Abdalla Hamdok ne kaha tha ke kabeena fori tor par intizamia ko darpaish challenges par kaam ka aaghaz kere gi jis mein bohraan ki shikaar maeeshat par qaboo paana aur mulk mein qiyam aman lana hai.

Unhoun ne mazeed kaha ke qiyam aman se fouji akhrajaat mein taizi se kami aaye gi kyunkay mulk ka 80 feesad se zayed budget fouji akhrajaat par mabni hota hai. Sudan ke wazeer azam ne kaha ke agar hum fouji akhrajaat mein kami laatay hain to wo sahet aur taleem par kharch hoga. Aqwam mutahidda ki iqtisadi commission baraye Africa ke sabiq ohdedar Abdalla Hamdok ne world banking ke sabiq rukan Ibrahim El-Badawi ko wazeer khazana muntakhib kiya tha. Is se qabal 17 August ko sabiq sadar Omar Al Bashir ki bartarfi ke baad hukoomat saazi par shuru honay walay ehtijaj aur muzahiray kayi mah baad ekhtataam ko pahonch gaye thay aur fouji hukoomat aur muzahireen ki qayadat ne hukoomat saazi aur intikhabaat ke liye tay panay walay hatmi muahiday par dastakhat kiye thay.

Sudan ki hukmaran fouji council ke naib sarbarah General Mohamed Hamdan Dagalo aur oppostion ke numainday Ahmed Al-Rabi ney 4 August ko tareekhi muahiday ko hatmi shakal di thi, Jis par dono ney dastakhat kiye they. Fouji council aur muzahireen ke darmain salisi anjaam dainay walay Africi union aur Ethiopia ke numainday bhi taqreeb mein shareek they, Is ke ilawa Ethiopia, Janoobi Sudan aur Kenya ki qayadat bhi mojood thi.

Yaad rahay ke guzashta baras April mein fouji council ne Sudan ki hukoomat is waqt apne haath mein li thi jab kayi mah se jari muzahiroun aur ehtijaj ke baad fouj ne is waqt ke sadar Omar Al Bashir ko mazool kardiya tha. Is ke baad fouji council ki hukmarani ke khilaaf muzahireen ne apna ehtijaj jari rakha aur is douran fouj ki janib se pur-tashaddud karwaiya bhi ki gayeen thi, Jis mein kayi muzahireen jaan bahaq aur zakhmi hue thay.

Fouj ki janib se 3 June ko Khartoum mein muzahireen par firing ki gayi thi, Jis ke nateejay mein darjanoun afraad maaray gaye they, Jis ke baad awam mein mazeed ishtial phail gaya tha. Muzahiroun ke bawajood fouji council aur forces of freedom and change ( FFC ) ke naam se opposition ittehaad ke darmain hukoomat saazi aur mulk mein intikhabaat ke hawalay se mazakiraat bhi hotay rahay, Jis ke liye Ethiopia ke Wazeer e Azam Abi Mohammad ne salisi ki aur Africi union ne bhi apna kirdaar ada kiya.

FFC ke rehnuma Mohammad Nagha Al-Saam ney muahiday ke liye honay walay mazakiraat aur muahiday tay panay ke baad bhi 3 June ko honay walay khoon raiz waqea ki tafteesh ka mutalba kiya tha aur jab ye moahida tay padha tha to opposition ke mutadid rehnumaoun aur awam ki janib se is waqea ki tafteesh ki shaqq bhi is mein shaamil karne ka mutalba kiya gaya tha.