Srinagar: Srinagar ki tareekhi Jamia Masjid, jisay 5 August ko article 370 ki mansookhi ke baad band kiya gaya tha,charshumbe ke roz 134 din ke baad, Pehli baar namaz ke liye dobarah kholdi gayi. Zohar ki namaz ki azaan ne muqami aur aas paas ke ilaqay ke rahaishioun ko herat mein daal diya. Is azeem-ul-Shan masjid ko pehli martabah Mirwaiz Umar Farooq, Jo hurriyaat conference ke ek hissay ke sar barah they, Sarbarahi mein anjuman uqaaf ne masjid ki safai ki thi.
Mazkorh masjid mein, 5 August se koi namaz nahi padhi gayi. Hakkaam ne guzashta mah namazoun par pabandi khatam kardi. Masjid intizamia ke ek senior membar ne kaha ”ham ne aaj (charshumbe ko ) masjid ki safai karne aur 5 August ke baad pehli baar Zohar aur asar ki namaz padhnay ka faisla kiya“. Srinagar ke Gojwara ke rehaishi Mohammad Sultan ne kaha ke ”Ye jagah Rohani markaz hai. Aur khuda ka shukar hai ke ye masjid phir se namazioun ke liye khul gayi hai.
Masjid ke khilnay ke baad namaz Zohar ke liye qareeb 150 afraad ne is tareekhi masjid mein namaz ada ki. Auqaaf committee ne jummay ke roz masjid mein ijtimai duayen karne ka faisla kiya hai. Auqaaf committee ke ek rukan ne kaha ”Agar sab kuch theek raha to is tareekhi masjid mein jummay ke roz ”Jumma ki namaz“ Padhi jaye gi“.
5 August ko Article 370 ko mansookh karne ke baad tareekhi Jamia masjid mein namaz par pabandi aed karne par uqaaf aur Security forces ke mabain tanaza khada huva tha. Security ahelkaar ye keh rahay they ke pichlle mah se hi namaz padhnay par koi pabandi nahi hai, Jabkay Auqaaf ka muaqqaf tha ke jab tak saaray raastoon aur msajd se security forces ko hata ya nahi jata, Is waqt tak namaz nahi hogi.
Tareekhi Jamia masjid chodhween sadi mein taamer ki gayi thi aur tab se hi ye Kashmir mein ek ahem Rohani markaz raha hai. Aur ye masjid bhi taweel arsay se Kashmir mein alehadgi pasand siyasat ka markaz rahi hai. –YTN STAFF