Colombo: Srilanka may sadaarti intikhabaat se chand ghantay qabal hi musalman aqlitoun par musallah afraad ki janib se firing ki gayi hai. aaj Srilanka may sadaarti intikhabaat ho rahay hain. sadaarti intikhabaat ke liye ahem umeedwaroun may Housing Minister Sanjith Premadasa aur sabiq difaa ke wazeer Gotabaya Rajapaksa hain. un 2 umeedwaroun ke jeetnay ke liye musalman aur Tamil aqlitoun ka Vote ahem samgha ja raha hai.
Police ke mutabiq halakatoun ki fori ittila masool nahi huvi taham hamla awaroun ne 100 se ziyada gadiyoun ke rastay may rakawaten khadi kee. Police ke mutabiq hamla awaroun ne firing ke sath pathrao bhi kiya. ye waqea shumali Colombo ke Mannar District ke ilaqay may pesh aaya hai.
sahili ilaqay Patnam ki aqliati musalman abadi ke afraad qareebi zilay Mannar may vote daalnay ke liye jarahay thay. Police ne hamla awaroun ki janib se sarrak par haail rakawaten dur ki aur qaafley ko bahifazat Polling Station tak pohanchaya. doosri janib Police ne Election Commission ko Report kiya hai ke jazeera numa Jaffna may muqami logoun ki janib se ye shikayaat samnay aayi hain ke Army ki janib se sadkoun par rakawaten khadi ki gayi hain jis ki wajah se muqami afraad ko Vote daalney may mushkilaat ka saamna hai. Police ne mazeed kaha hai ke jab ye maamla Army ke Notice may laya gaya to unhoun ne rastay se rakawaten hatayin. fouji Cammanderoun ko khabardaar kiya gaya hai ke intikhabaat may kisi bhi qisam ki rukawat daalnay ki ittila adalat ko di jayegi aur mujrimoun ke khilaaf sakht karwai ki jayegi.
Srilanka ke muqami Media ke mutabiq jazeera numa Jaffna jahan Tamil aqliat abadi hai, fojion ki mojoodgi intikhabaat ke nataij par assar daal sakti hai jo sabiq wazeer difaa Rajapaksa ke hak may ja sakti hai. sabiq difaa wazeer Gotabaya Rajapaksa Srilanka ke sabiq saddar Mahinda Rajapaksa ke bhai be hain. – YTN STAFF