Colombo : Haliya bomb dhamakoun ke baad srilanka hukoomat nay apni security ko mustahkam karne ke iqdamaat ki bajaye muslim khawateen ke burqa pahennay par pabandi laganay ka mansoobah banaliya. Srilanka hukoomat ke zaraye ke mutabiq hukkam muslim community ke rehnumayon se mushawarat karkay burqa par pabandi aed karne par ghour kar rahi hai jabkay abhi is muamlay par sadar Maithripala ke sath baat cheet horahee hai .
Report ke mutabiq zaraye nay kaha hai ke haliya dehshat-gard hamloun mein mulawis mutadid khawateen burqa ka faida utha kar faraar hogai. Daren-asna hukmaran United National Party ke rukan-e-parliment nay bhi Aewaan mein burqa par pabandi ke liye ek qarardad paish ki hai unhoun nay kaha ke burqa par pabandi mulk ki bain ul aqwami security zaroriat ko bunyaad bana kar aed ki jayegi. doosri janib Srilanka hukoomat ke un mansoobay par tanqeed bhi ki jarahi hai kyunkay security ke naam par kisi ek tabqay ke mazhabi umoor mein mudakhlat ki koshish ki jarahi hai .- YTN STAFF