Srikakulam: AP ke Srikakulam zila mein Private Banks ke intizamia neh apne kaam ke auqaat mein kami kar di hai taakay corona ke mamlaat ko roka jasakay. Zila mein haliya dinoun ke douran corona ke mamlaat mein izafah huwa hai. Is sorat e haal ke pesh e nazar Banks neh apne kaam ke auqaat mein kami kar di hai taham khateh daar subah hi se Banks ke qareeb qataar laga rahe hain. Raqam nikaalne, Jama karne ke sath sath deegar kamoun ke liye sarfeen ko na qabil bayan mushkilaat ka saamna karna padraha hai. Maamar afraad Banks ke baher qataar laganay par majaboor hain jis se bhi un ko mushkil sorat e haal ka samna hai.
Banks ke kaam ke auqaat 10.30 bajey din taa 1 bajey dopehar tak hain. Un Banks ke intizamia ney Banks ki Gates ke baher Sanitizers ki botelain rakhi hain. Taweel kataroun ki wajah se samaji faasla ko peechay chuda jaraha hai kyunkay beshtar afraad jaldi mein hain aur unhoun ney is sorat e haal par Banks intizamia par barhami ka izhaar kiya hai. Baaz sarfeen ney kaha kay wo qataar mein subah 9 bajey se tehre huve hain. Baaz sarfeen ney shikayat karte hue kaha ke ATMs mein naqdi ki kami ki wajah se wo Banks se hi raqam nikaalne ke liye anay majaboor hogaye hain.