New Delhi : Do mahinoun ki ghair yaqeeni sorat-e-haal ke baad congress party ko apna uboori sadar mil gaya. hafta ko congress working committee ( CWC ) ki lag bhag 12 ghantoun tak chalay ijlaas ke baad party ki sabiq sadar Sonia gandhi ko party ki uboori sadar banaya gaya. 2 mahinay qabal Lok sabha intikhabaat ke baad Rahul gandhi ki janib se party sadar ke ohday se istifa dainay ke baad se yeh ohda khaali tha.
Rahul gandhi decemeber 2017 mein Gujrat assembly intikhabaat ke waqt congress ke sadar banay thay aur 2019 ke lok sabha intikhabaat mein party ki haar ke baad apne ohday se istifa day diya tha. Party december ki kaman sambhalnay walay Rahul Gandhi neh 2017 mein 25 May ko congress working committee ( CWC) ke ijlaas mein party sarbarah ki haesiyat se istifa diya tha aur aam intikhabaat mein congress ki har ki akhlaqi tor per zimmedari qubool ki thi .
Is beech hafta ko Party sadar ke intikhab ke liye CWC ka ijlaas talab kiya gaya tha. CWC ijlaas ko paanch groupoun mein taqseem kiya gaya tha. un groupon ko ilaqe-e-waar taqseem kiya gaya tha aur tajaweez talab ki gayeen theen.
Ijlaas mein reyasti Sadar , arkaan-e-parliament aur muqanah party ke rehnumao ke khayalat maloom kiye gaye. aur unke khayalat ke mutabiq ek qarardad Manzoor ki gayi ke Rahul gandhi ko apne ohday par Bar qarar rehna chahiye aur unse istifa wapas lainay ki darkhwast ki gayi, lekin Rahul gandhi neh is darkhwast ko mustard kardiya.
Din bhar congress qaideen mukhtalif naamonu par ghhour karte rahay. kuch neh party sarbarah ke liye ghair gandhi naam tajweesh kiye, iske baad sabiq wazeer-e-kharja P chidambaram neh tajweez paish ki ke Sonia gandhi ko party ka uboori sadar banaya jaye.
Taham, is-se qabal Sonia Gandhi neh is tajweez se inkaar kiya tha, yahan tak ke ijlaas mein mojood congress ke general secretary Priyanka gandhi Vadra neh Chidambaram ki tajweez par aiteraaz kya, lekin unhon neh kaha ke agar Sonia gandhi tayyar hain to phir is maamla mein koi kuch nahi keh sakta. –YTN STAFF