India

Sonia aur Rahul Gandhi ki jaan ko khatrah : Congress

By News Desk Roman Urdu

November 21, 2019

New Dehli: Log Sabha may Congress ne Party sadar Sonia Gandhi aur sabiq Party sadar Rahul Gandhi SPG Security wapas liye janay par tashweesh zahir ki aur zor dekar kaha ke dono ki jaan ko khatrah hai.

Congress rukan Ranveet Singh Bittu ne waqfa sifar may is maamla ko uthatay hue kaha ke 1984 may is waqt ki Wazeer-e-Azam Indira Gandhi ke qatal kiye janay ke baad Wazeer-e-Azam ki Security ke liye is force ka qiyam amal may aaya tha. Waseer-e-Azam ke ohda par rehtay hue Rajiv Gandhi ko ye Security mili thi jisay un ke Waseer-e-Azam ke ohda se hatnay ke baad Vishwanath Pratap Singh ki hukoomat ne wapas leli thi. Bittu ne kaha ke Rajiv Gandhi se SPG Security wapas liye janay ke chand mah baad hi unka qatal hogaya tha. iske baad sabiq Waseer-e-Azam aur un ke khandan ke arkaan ko bhi ye Security di gayi thi. unhoun ne kaha ke 2004 se 2014 tak 10 saal ke mutahidda taraqqi pasand ittehaad ( UPA ) ke dore hukumat may Afzal Guru aur Pakistani dehshat gard Ajmal Qassab ko phansi di gayi. isliye Gandhi aur Rahul Gandhi ko jaan ka khatrah bana huwa hai.

Bittu apni baat poori bhi nahi kar paye they ke Speaker Om birla ne inhen rok diya aur kaha ke wo is mauzo ko pehlay may bhi utha chuke hain lekin Bittu ne Speaker se apni baat poori karne ki baar baar darkhwast ki. Speaker ne unki Ek na suni. is par jhillakar Bittu ne kaha mohtaram Speaker, aap bhi unse ( hukoomat se ) mil gaye hain. is par Birla ne kaha ke inhen chair se aisi baat nahi kehni chahiye. inhen baad may bhi baat karne ka mauqa miley ga.

Intikhabi band maamla ki tehqiqaat ka mutalba Congress ne Corporate ghranoun ki taraf se intikhabi band ke tavassut se 95 feesad siyasi chandah BJP ko hi diye jaane ka ilzaam lagatay hue is poooray maamla ki tehqiqaat kurwaye jaane ka mutalba kiya hai.

Congress ke Senior Leader aur sabiq wazeer Kapil Sabal ne Parliament House ke ihata may Media se kaha kay sabiq wazeer-e-khazana Arun Jaitley ne 2017 may pesh kiye gaye Budget may Companies ke zareya siyasi Parties ku deye jaane walay intikhabi chandah ki had unke munafe ke 15 feesad se badhadi thi. Is ki Reserve Bank ne mukhalifat bhi ki thi lekin hukoomat ne is silsila may musevida shaya hojane ki daleel de kar usay mustard kardiya tha.

Unhoun ne kaha kay is bandobast ke baad se ghanki companies ne 95 feesad siyasi chandah BJP kohi deye hai. aisa kyun aur kaisay huwa, is ki mukammal tehqiqaat honi chahiye. Modi ko is maamla may ewaan may wazahat karni chahiye.

Congress Leader ne ilzaam lagaya ke intikhabi band ke tavassut se siyasi chandah diye janay ka nazm sochi samjhi hikmat-e-amli ke tehat kiya gaya tha. Companiyon ki taraf se ek hi Party ko 95 feesad diye janay se ye wazeh bhi hogya hai. unhoun ne ilzaam  lagaya ke qaumi jamhoori ittehaad hukoomat is terhan se bud unwani ko farogh day rahi hai. is baat ki tehqiqaat honi chahiye ke kahin ye paisa hawala ka to nahin hai. –YTN STAFF