Exclusive

Software Engineer ladki ne sabzi farokht karna shuru kiya

By News Desk Roman Urdu

July 27, 2020

Hyderabad: Corona ki wajah se kayi mulazimaten chali gayen aur loog pareshan hogaye taham ek Software Engineer jis ki mulazimat chali gayen, Is sorat e haal se bilkul bhi mayoos nahi huvi. Is ki kahani jazba paida karnay wali hai. Is ne halaat ke samnay haar nahi maani balkay khandan ki rootti rozi ke liye is ne sabzian farokht karna shuru kar dein. Is ne apne kaam ke zareya nojawanoun ke liye ek jazba pida kiya. Hyderabad ki is Software Engineer ki shanakht Sharda ke tour par ki gayi hai.

Is neh sadak ke kinare sabzi ki bandi lagali aur sabzi farokht karte hue wo apne arakeen khandan ke pait ki aag bhuja rahi hai. Is neh kaha ke wo ek Software company mein performance and quality Assurance ka kaam karti thi. Lockdown se 3 mah pehlay is neh mulazimat ikhtiyar ki thi jahan is ko tarbiyat di gayi aur project mein shaamil kiya gaya. Lockdown ke baad company ke intizamia neh moazirat khawahi karte hue kaha ke wo is ko thankhowa nahi day satke, Isi liye wo mulazimat se is ko nikaal rahay hain . Intizamia ney kaha ke Projects nahi hain aur is ko nisf thankhowa ki wajah se masail peda husakte hain. Isi liye is ko mulazimat se nikala ja raha hai. Jab is se poocha gaya ke Engineering ki taleem aur behtar mulazimat ke baad sabzi farokht karna is ko kaisa lag raha hai tu is ney kaha ”Is par is ko koi afsos nahi hai balkay mein apne walidain ki madad ke liye ye kaam kar rahi hon.

Ye kaam meri baqa ke liye hai. Baaz auqaat mulazimat se mehroomi par afsos hota hai lekin mulazimat jaane ke baad mein ye kaam kar sakti hon. Ye kaam karne mein mujhe koi afsos ya sharmindagi nahi horahee hai. Mere school ke asateza, Principal, Mere saathi talba aur deegar jaan pehchan walay mere paas se sabzi khareed rahe hain. Mere B.Tech ke ustaad bhi mujh se hi sabzi ki kharidari kar rahay hain. Tamam loog mere is kaam ki sataish kar rahay hain aur ye nahi pooch rahay hain ke mein ye kaam kyun kar rahi hon? Kabhi kabhi koi ye puchhte hain ke aap ki mulazimat kyun chali gayi? To mein jawab deti hon ke mulazimat chali gayi aisa nahi hai, Balkay sorat e haal kharab hogayi hai. Mein pehlay Delhi mein kaam karchuki hain. Wahan par mein dhai saal tak performs Analyst ke tour par kaam karchuki hon.

Is ke 2 saal ke baad Hyderabad ki ek Software Company mein mujhe mulazimat mili lekin is mulazimat ko akhtyar karne ke 3 mah baad hi lockdown nafiz hogya“. Sharda neh kaha kabhi bhi ye nah sonji ke mulazimat chali gayi hai kyunkay aap ke paas aap ke haath aur paiir hain. Khuda neh aap ko har cheez di hai. Aap sabzi, Phool aur koi bhi cheez farokht karte hue bhi zindagi guzar satke hain. Aap ki zindagi mein tamam wasail mojood hain. Is ke liye misbet andaaz mein sonch ki zaroorat hai. Mulazimat chali jani par khudkushi ke baaray mein soonchna munasib nahi hai. Aap ke zehan mein manfi khayalat ko anay nah den. Jab tak aap manfi andaaz mein soonchna nahi choden ge, Aap mein misbet khayalat nahi ayen ge. Partayish zindagi guzarna hi zindagi nahi hai balkay zindagi ghareeb tareeqa se, Mutwast tareeqa se har terhan se guzari ja sakti hai. Badi mulazimat se chhootay kaam ki taraf anay par hum ko sharam mehsoos nahi karni chahiye kyunkay waqt kharab hai. Aap sirf sakht mehnat karen“.