Latest News

SIAN Arne Tumyr ka kehna hai ke wo phir ek bar Quraan ko jalaaye ga

By News Desk Roman Urdu

November 27, 2019

Norway: Ek hafta qabal hafta ke roz SIAN( Stop Islamization in Norway ) Tanzeem ki janib se musalmanabadi walay Kristiansand. Sheher mein ek muzahirey ke douran Quraan ko Nazar aatish karne walay sabiq sahafi aur SIAN ke rehnuma 85 sala shakhs’ Arne Tumyr muqami akhbar Agderposten, se baat karte hue bataya hai ke wo ek baar phir Quraan ko jalaaye ga.

Is ne kaha ke ”Ye sirf shuruvaat hai“. ye mazhab par tanqeed karne ke haq ke baare mein hai. Tumyr ne kaha ke mai Jo tarjeeh deta hon, wo hai logoun ke sath baith kar dalail aur haqayiq par tabadlah khayaal karna. aur kaha kay unhoun ne logoun ko beedar karne ke liye quran chaladi“.

16 November ko SIAN tanzeem ne elaan kiya tha ke wo quran jalanay ja rahay hain. Police ne inhen peshgi hukum jari kiya tha ke is ki ijazat nahi hai. lehaza Tumyr ne Quraan ka ek nuskha korray daan mein daal kar is ki tauheen ki. Is ke baad SIAN rehnuma Lars Thorsen ne Quraan ki ek aur Copy ko aag laga di. Jis se Muslim duniya ki taraf se shadeed radd-e-amal ka izhaar kiya gaya tha.

SIAN Norway ki ek Islam mukhalif tanzeem hai, Jo 2000 ke awail mein Islam ke phelao ke khilaaf kaam karne ke maqsad se qaim ki gayi thi. Filhaal Islami baradri Norway ki abadi ka dosra sab se buda mulk hai. –YTN STAFF