Slider

Shumali Korea mein Coronavirus ka ek bhi mareez nahi, Hukkaam ka daawa

By News Desk Roman Urdu

April 03, 2020

Seoul: Is waqt duniya ke taqreeban sabhi mumalik Corona ki zad mein hain aur is par qaboo panay ke liye koshishen bhi jari hain lekin is darmain shumali Korea ne daawa kiya hai ke wo Corona ki waba se poori terhan pak hai. Ek Medical ohdedar ne kaha hai ke jab padosi mulk China mein Coronavirus ka pehla maamla January mein samnay aaya tha tabi apni sabhi sarhadoun ko band kar diya tha. Isi ka nateeja hai ke mulk ka har shehri poori terhan se sahet mand aur mehfooz hai.

Ek Report mein shumali Korea ke Central Emergency Anti Anti-epidemic headquarters ke Director Pak Myong-su ke hawalay se likha gaya hai ke ibtidayi daur mein ki gayi sakhti ka nateeja hai ke hum Virus ke khatray se mehfooz hain. Isi sakhti ka nateeja hai ke mulk mein abhi tak ek bhi Corona mutasir mareez mojood nahi hai. Report mein bataya gaya hai ke Virus se bachao ke liye mulk mein daakhil honay walay harshakhs ki zurori jaanch ke baad zabtoun ke mutabiq Quarantine kiya ja raha hai. Itna hi nahi, Koi samaan bhi dosray mulk se aa raha hai to usay disinfecting kiya jata hai aur phir kisi ko chone ki ijazat hoti hai. Virus mulk ke andar daakhil na ho is ke liye samandari rasta ke sath hawai rasta ko bhi shumali Korea ne band kiya huva hai.

Janoobi Korea k eek Dr. ne shumali Korea ke is daaway par andesha zahir kiya hai ke is mulk mein ek bhi Coronavirus ka mareez nahi hai. Unhoun ne kaha hai ke mujhe maloom huva ke shumali Korea ke bohat loog mar chuke hain, Lekin zimma daraan ye nahi keh rahay hain ke ye amwaat Coronavirus se huvi hain. –YTN STAFF