Slider

Shohar pehli biwi ke paas, Curfew Pass jari karne doosri biwi ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

April 04, 2020

Amman: Coronavirus ki wajah se sab se ziyada un afraad ko pareshani horee jin ki ek se ziyada biwiyan hain kyunkay ek biwi ki janib se mutalba kiya ja raha hai ke shohar Lockdown ki wajah se wapas nahi aapa rahe hai hain lehaza inhen Pass faraham kiya jaye. Urdan ki khatoun ne kaha hai shohar pehli biwi ke paas hai. Curfew ke baais wapas nahi araha usay Curfew Pass jari kiya jaye. Khatoon ne kaha hai ke Coronavirus se bachao ki khatir lagaye jaaney walay Curfew ne usay apne shohar se daur kar rakha hai Shohar pheli biwi ke yahan gaya huwa tha lekin Curfew lag jaaney ki wajah se yahan nahi aasakta Curfew Pass ke baghair is ka shohar is ke paas nahi aasakayga.

Tafseelaat ke mutabiq Urdoni khatoon ne ye mutalba Rutana Radio Channel ke On Air Programme se rabita karkay kiya hai. Urdoni khatoon ne kaha hai apne shohar ki doosri biwi hon. Urduni dar-ul-hukoomat Amman mein qiyam pazeer hon. Mera shohar muqarara waqt ke mutabiq apni pehli biwi ke paas gaya tha taham Curfew lag jaaney ki wajah se wo is ke paas anay se qassar hai. Mera shohar mere paas aana chahta hai lekin Curfew ki wajah se aheen sakta. Hukkaam se Appeal hai ke wo Curfew par amal daraamad ke silsilay mein insani halaat ka khayaal karen. Mera masla khalis insani hai. Mere khawend ko Curfew Pass jari kiya jaye. Programme ke douran Radio Announcer ne Urdoni khatoon ke mutalbe par kaha ke ye bhi to mumkin hai ke aap ka shohar is waqt pehli biwi ke paas aap se jaan chhudanay ke liye gaya ho?. Urdoni khatoon ne Announcer ke daaway ki tardeed ki aur kaha ke mera shohar mere paas aana chahtahe is ka mujhe yaqeen hai. Yaad rahay ke khatoon ka shohar apni pehli biwi ke paas 12 din qabal gaya tha liken Curfew ke baais ab tak doosri biwi ke paas nahi aasaka hai. –YTN STAFF