Abu Dhabi : Yahan ek muqami adalat mein zair-e-samaat khangi muqadmay ne awam ko haeran kar diya kyunkay khatoon jin baton par shohar se khula mutalba kiya hai woh haeran kan hain jaisa ke is ka shohar hans kar baat nahi karta, gussa karta hai aur na hi tareef. woh ehsasat se aari hai. ghar se bahar ke tamam umoor behtar tor par anjaam deta hai lekin ghar mein atay hi woh khamosh ho jata hai. is zindagi se tang aa chuki, is liye alehadgi chahiye .
Emirate today ki report ke mutabiq Abu dhabi ki adalat mein paish hue muqadma ki samaat ke douran qaazi ne khatoon se alehadgi ki wajah daryaft ki to is ne kaha meri shadi ko 10 baras guzar chuke, is arsay mein mujhe yaad nahi ke mere shohar ne kabhi mujh se hans kar baat ki ho ya meri tareef mein chand jumlay kahe hon jis se yeh ehsas ho ke mein sanaf naazuk hon. khatoon ne kaha ke mujhe nahi maloom ke kis barf ki seal se meri shadi hui hai. mujhe yaad nahi ke hamari 10 sala azdawaji zindagi mein koi lamha aisa aaya ho jab mere shohar ne mujh par haath uthana to dur ki baat gussa se kuch kaha bhi ho .
Khatoon ka muaqqaf hai mera shohar agarchay ghar ke tamam akhrajaat bakhoobi poooray karta hai woh bahar ke tamam umoor bhi anjaam deta hai lekin jab ghar mein aata hai to is tarhan jaissa koi mutaqabbir wo maghrour shakhs ho jis se koi bhi is ki marzi ke khilaaf baat karna to dur ki baat is se muskurahat ki tawaqqa bhi nahi karsakta. aisi haalat mein sakht dabao ka shikaar ho jati hon khaas kar jab shohar ko ghar se bahar dosaroun se hans hans kar baatein karta dekhtii hon ya phone par lambi aur khobsurat guftugu karte hui suntee hon to meri samajh mein nahi aata ke yeh mera hi shohar hai jo hamesha khamosh rehta hai .
Muqadma ki samaat ke douran khatoon ne mazeed kaha ke mein ne badi koshish ki ke ghar ke mahol ko achha rakhu lekin mere shohar ka rawayya hamesha mujh se bezaar rehta hai. koshish ki ke halaat ko badal dun, apna ghar choda, dost aur padhai chodi lekin sab kuch chodnay ke bawajood mujhe kuch nah mila isi liye ab mein mazeed is ke sath guzaraa nahi kar sakti .
Qaazi ne shohar se jawab talab kiya jis par is ne kaha ke bator-e-ghar ke sarbarah ke mujh par jo zimma daari aed hoti hai woh mein bakhoobi ada karta hon. meri zaat se kabhi is par koi zayad-ti nahi hui. ghar mein kisi qisam ki qaid wo qad aed nahi ki hui is ke bawajood meri samajh mein nahi aata ke mere mizaaj ko buri aadat bana kar woh khula ka mutalba kyun kar rahi hai .
Qaazi ne khatoon ki shikayat suneney ke baad usay nasiyaat karte hue islaah ki targheeb dete hue kaha ke ghar barbaad karne mein koi waqt nahi lagta is liye mamooli baton ko faramosh kar ke agay badhna chahiye. shohar ne kaha kay woh alehadgi nahi chahta is liye ahliya ko kuch waqt sochnay ka diya jaye taakay woh nafsiati uljan se bahar nikal aeye aur is ke baad jo faisla kere hamein qubool hoga. adalat ne muqadma ko sulah committee ke hawalay kardiya jode ko talabb kya gaya aur unke mubain sulah ki koshish ki gayi jo kamyaab rahi . –YTN STAFF