Hyderabad

Shoba Islamic Studies MANUU mein MA Islamic Studies

By News Desk Roman Urdu

July 31, 2020

Islam ki tehzibi tareekh aur mulk ki Muslim tareekh-o-saqafat se waqfiyat ka sun-hera mauqa

Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University Hyderabad MANUU mein MA Islamic Studies mein dakhilay jari hain. Ye Course Deeni Madaris ke fariqeen aur colleges ke nojawan talbe-o-talibat ke liye mojooda waqt ke tanazur mein intahi ahmiyat ka haamil hai. Is Course ke nisaab mein aloom Islamia Quran-o-Hadees aur fiqa-o-tasawuf ke taqabli mutalea ke ilawa Islam ki taweel tehzibi-o-tamadduni tareekh,

Hindostan mein Islam aur Musalmanoon ke hama jehti mutalea, Islami uloom ke mehdanon mein mustashriqen aur deegar ghair Muslims ki khidmaat neez Science-o-Technology ke mehdanon mein Muslim Ulama aur Science daano ke Ilmi karnamoun ke sath mojooda daur mein poori duniya mein phailay musalmanoon ki tareekh-o-ahwaal aur masail-o-nazriaat ka mutalea karaya jata hai. Is course mein talba ko Islamyat ke sath angrezi zabaan aur Computer ki taleem bhi di jati hai. Is Course ki takmeel ke sath hi UGC-NET ke zareya karte hue taqarruri ki ahliat ya JRF Qualifier kar ke mahana fellowship is course mein dakhila ki ahliat 45 feesad numbrat ke sath kisi bhi University se Graduation ya un Madaris ki asnad hain jo MANUU mein dakhila ke liye tasleem shuda hain. Dakhila ke liye omar ki hadd mardon ke liye 35 saal aur khawateen ke liye 40 saal hai.

Dakhila ki aakhri tareekh 30 September hai. Dakhila sirf online hai jis ke liye MANUU ki Website http://MANUUu.edu.in par rahnumai dastyab hai. Mazeed maloomat ke liye office ke phone 04023008364, Mohtarma Zeeshan Sarah 7993054437, Doctor Mehmood Irfan Ahmed 9010849380, Doctor Shakeel Ahmed 9811647505, Janab Atif Imran 7505279270, Prof Mohammed Faheem Akther 8374672330 se rabita qaim kiya jaskta hai.