India

Shiv sena Kabeena Mein Qalam Daan Par Bjp Se Naraaz

By News Desk Roman Urdu

June 06, 2019

New Delhi :  Wazeer-e­-Azam Narendra Modi ki doosri miyad ki halaf bardari taqreeb ke waqt se hi Haleef jamaaton mein narazgi ki baatein shuru ho chuki theen. pehlay JDU ne kabeena se alehda rehne ka elaan kiya aur party sarbarah aur Bihar ke chief minster Nitish kumar ne apni narazgi ka izhaar karte hue kaha tha ke woh markazi kabeena mein alamti shirkat ke khilaaf hain. doosri janib BJP ne apna dil ki Anu Priya patel ko bhi koi wizarat nahi di hai. ab Shivsena  jis ko wizarat di hai woh apne qalamdaan se khush nahi hai.

Markazi kabeena mein Shivsena  ko bhaari sanat ki wizarat di gayi hai lekin woh is wizarat se khush nahi hai aur zaraye ke mutabiq Shivsena  ke senior Rehunumaoun ne is talluq se Amit Shah se mulaqaat karke apni narazgi darj karai hai. Maharashtra assembly intikhabaat se pehlay Shivsena  ne BJP se wizarat badal kar doosri wizarat dainay ka mutalba kiya hai .

Wazeh rahay Shiv Sena se Arvind sawant ko markazi kabeena mein jagah di gayi hai aur inhen bhaari sanat ki wizarat di gayi hai. Halaf bardari taqreeb ke waqt Shivsena  ko koi narazgi nahi thi lekin ab achanak unhon ne yeh narazgi darj karai hai. is se qabal lok sabha intikhabaat se pehlay bhi shiv sena ne kaafi narazgi dikhayi thi aur akailey intikhabaat ladnay ka shor machaya tha lekin baad mein BJP ke sath milakar hi antkha baat ladi thi. markazi kabeena mein soobah Maharashtra se saat arkaan ko shaamil kiya gaya hai jis mein Shivsena  se arvind sawant hain jabkay BJP se Nitin Gadkari, Prakash , piyush Goel , sahib, Ramdas Uthawle aur sanjay ghotre hain . –YTN STAFF