Hyderabad: Is waqt Hindustan bhar mein BJP hukoomat ke khilaaf shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf sakht ehtijaj ho rahay hain kyunkay ek janib hukoomat ki janib se muta-arif kardah kala qanoon ghair dastoori hai to doosri janib ye qanoon Hindustan ki salmiyat ko mazhab ke naam par todnay wala hai. Hindustani awam ko is qanoon ke khilaaf is liye bhi ehtijaj karna chahiye kyunkay is qanoon ki wajah se Hindustan ki yakjahti, Bhai chaargi aur secular eqdaar ko shadeed nuqsaan honay wala hai jis ka raast asar Hindustan ki taraqqi par hogi aur jab Hindustan taraqqi ki raah par apni raftaar khatam karlega to is ka asar har shehar aur dehaat mein mojood fard ke cholhe tak pade ga.
Un tamam halaat mein sab se pehlay Hindustan ke muhib watan har shehri ko ye janna zurori hai ke shehriat tarmeemi qanoon kiya hai aur uskay baad NRP aur NRC ke zareya kis terhan usay mulk bhar mein nafiz kiya jaye?
Shehriat Tarmeemi Qanoon hai kiya ? Wazeer e dakhla Amit Shah ne 9 decemeber ko parliament ke aywanِ zaireen Lok Sabha mein shehriat tarmeemi bill pesh kiya. Jisay oppostion ki mukhalifat ke bawajood kasrat raye se manzoor kar liya gaya. Bill ke zariye Hindustan mein raaij 1955 ke shehriat qanoon mein tarmeem ki gayi hai. Jis ka maqsad Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se mobayyana tor par mazhab ki buneaad par sataye jane ke baad Hindustan anay walay Hindu, Sikh, Budh, Jain, Paarsi aur isaai baradri ke afraad ko shehriat dena hai aur ab ye qanoon ki hesit haasil karliya hai.
Jo loog 31 decemeber 2014 ya is se qabal mazkoorah baala mumulk se Hindustan aeye hain un ko bhi Hindustan ki shehriat di jaye gi. Naye qanoon mein musalmanoun ko shaamil nah karne par hukumaran jamaat Bhartia Janta party ( BJP ) ko shadeed tanqeed ka saamna hai.
Wazeer e dakhla Amit Shah ne ewaan mein ye bill pesh karte hue is mein tarmeem ko hindustani aeen ke mutabiq aur maqool darjaa bandi kaha tha. Wazeer e dakhla ne kaha tha ke Hindustan ke aeen ka Article 11 shehriat dainay ke muamlay se mutaliq hai. Jis mein wifaqi hukoomat ka ye haq diya gaya hai ke wo maqool darjaa bandi karte hue ghair mulkioun ko shehriat dainay ke qanoon mein tarmeem kar sakti hai.
Albata naqideen kehte hain ke hukamaran jamaat ke nazdeek maqool darjaa bandi ka pemana Hindustan ke aeen ke Article 14 aur 15 se mutsadam hai. Un ke nazdeek Hindustan ka aeen secularism aur masawaat par zor deta hai lekin mojooda hukoomat usay nazar andaz kar rahi hai.
Hindustan ke aeen ka Article 14 aur 15 kiya kehta hai? Hindustan ke aeen ya dastoor ke Article 14 ke mutabiq riyasat har shakhs se barabari ki buneaad par sulooq kere gi. Is Article mein Hindustan ke shehri ke bajaye Hindustan mein mojood har shakhs ka tazkara kiya gaya hai. Hindustan aeen ke Article 15 mein kaha gaya hai ke riyasat mazhab, Rang, Nasal, Zaat, Jins ki buneaad par kisi bhi shehri ke sath imtiazi sulooq nahi bartegi. Qanooni mahireen ke mutabiq Article 15 mein lafz shehri istemaal kiya gaya hai. Yun shehriat tarmeemi bill barah e raast aeen ki nifi nahi karta albata Article 15 mein ye bhi kaha gaya hai ke Hindustan ek Secular mulk hai.
Hindustani shehriat haasil karne ka murawaja tareeqakar Hindustani shehriat se mutaliq 1955 ke Act ke tehat koi bhi shakhs jo Hindustan mein peda ho ya 1950 se le kar 10 decemeber 1992 tak Hindustan se bahar peda honay wala shakhs jis ke waalid is ki paidaiesh ke waqt hindustani shehri hon, Wo hindustani shehriat ka haq daar hai.
Is ke ilawa hindustani mein 12 saal se qanooni tor par muqeem ghair mulki afraad bhi hindustani shehriat ke liye darkhwast day satke hain. Koi bhi fard jis ki kisi hindustani shehri se shadi ko saat saal ka arsa guzar chuka ho wo bhi hindustani ki shehriat haasil kar sakta hai. Hukoomat ka ye kehna hai ke un sharait par poora utrney walay musalman is tareqekar ke tehat hindustani shehriat ki darkhwast day satke hain.
Ghair qanooni tarikeen watan se mutaliq qawaneen kiya they? Hindustani mein ghair qanooni tor par muqeem afraad ya aisay afraad jo ghair qanooni tor par sarhad uboor kar ke Hindustan mein daakhil hue hon ya jin ke visa ki meyaad khatam ho chuki ho, Inhen ya to deport kar diya jata hai ya un ke khilaaf qanooni charah joi ki jati hai.
Lekin 2015 mein hindustani hukoomat ne 31 decemeber 2014 ya is se pehlay Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se mobayyana tor par mazhab ki buneaad par sataye jaaney ki buneaad par naqal makani karkay Hindustan anay walay afraad ko deport nah karne ka faisla kiya tha. Un mein Hindu, Sikh, Isaai baradri, Jain, Budh aur Paarsi tarikeen shaamil they. Shehriat bill mein tarmeem ke baad ab mazkoorah mazhab ke maan-ne walay un 3 mumulk ke tarkinِ watan ko Hindustan ki shehriat di jaye gi jis ka itlaq Hindustan mein un ke dakhlay ke din se hoga.
Shehriat tarmeemi qanoon ki mukhalifat kyun? BJP hukoomat ki janib se muta-arif kardah naya qanoon shehriat tarmeemi qanoon jo ke Hindustani dastoor ke Article 8,14,15 aur 21 ke khilaaf warzi karta hai is liye usay wapas liya jana chaheye aur sath hi mulk bhar mein jo NRP aur NRC ko nafiz karne ki baat ki jarahi hai is ki mukhalifat bhi zurori hai.
NRP kiya hai ? NRP se morad National Population Register hai. NRP darasal Hindustan mein mojood har fard ki tafseelaat ka data base hota hai. NRP ke mawaad ke liye ghar ghar jaakar tafseelaat jama ki jati hain. Mulk ki jumla abadi ki tafseelaat jama karne ka ye tareeqa har 10 saal mein ek martaba hota hai jaissa ke 2011 mein aakhri martaba injaam diya gaya tha aur ab 2021 mein NRP hona hai.
NRP mein darasal har ghar ki tafseelaat jama ki jati hain jaissa ke ghar mein kitney afraad hain? un ki umrein kiya hain? bachay kitney hain? shadi shuda aur ghair shadi afraad kitney hain? mulazmat kiya hai? mazhab konsa hai? maqam paidaiesh kiya hai? maadri zabaan kiya hai? koi mazoor hai kiya? kiya afraad khandan pasmandah tabqaat SC ya ST se talluq rakhta hai? waghera waghera
NRP ke liye dastawizaat faraham karne hotay hain ya phir kawahoun ke tor par kisi ko pesh karna hota hai. Bazahir is mein koi daq-at nahi hai lekin chunkay hukoomat NRP ke baad NRC si nafiz karna chahthee hai jis ke liye wo NRP ko pehla qadam ya apne maqasid ke liye pehla hathyaar banana chahthee hai is ke liye NRP ki mukhalifat zurori hai.
NRC kiya hai? NRC se morad National Register of Indian Citizen jisay hum aam Urdu mein qaumi register baraye hindustani shehri kahe satke hain aur is fehrist mein shaamil afraad ko hi hindustani shehri mana jaye ga aur is register mein apna naam shaamil karwane ke liye dastawizaat laazmi hain aur agar koi is fehrist mein jagah bananay mein nakaam hota hai to phir is ke liye sangeen masail ka ek silsila shuru hojaye ga.
Jis shehri ka bhi naam is fehrist mein nahi aeyega wo koi bunyadi haqooq se mahroom hojaye ga jaissa ke wo haq raye dahi ( vote dainay ka haq ) se mahroom honay ke ilawa hukoomat ki janib se faraham ki jaany wali deegar mara-aat se bhi mahroom hojaye ga jis ke baad usay hirasati camp ya Detention center mein be yaaru madadkar chhodhdiya jaye ga.
Sarkari adaad shumaar ke mutabiq is waqt Hindustan mein 30 million afraad ke paas koi arazi nahi hai aur jab zameen hi nahi hai to phir un ke paas zamenaat ke kaghzat kahan se hon ge. 17 million aisay afraad hain jin ke paas koi makaan nahi hai aur ye afraad flyover Bridegs , Footpathoun aur deegar maqamat par apni zindagi guzaar rahay hain. 150 million afraad khanah badosh hain jin mein banjaray, deegar tabqay ke loog hain. 80 million qabaili afraad hain aur un tamam afraad ke paas kisi qisam ka koi kaghaz nahi hai aur un mein aksariyat un padh logoun ki hai junah sirf shehriat ke liye koi dastawizaat pesh kar saktay hain aur nah hi wo dastawizaat haasil karne ke amal se guzar satke hain. Un tamam halaat mein Hindustan ke ghareeb aur mutwast tabqay ke afraad par zayed boojh dala ja raha hai. –YTN STAFF