New Delhi: Mulk bhar mein shehriat tarmeemi qanoon ki mukhalifat jari hai muzahira kar rahay logoun ka mutalba hai ke markaz ki Modi hukoomat is qanoon ko wapas le lekin Modi hukoomat is baat par aadi hai hai aur na to wo is qanoon ko wapas le rahi hai aur nah hi is mein koi tabdeeli karne ko tayyar hai. Haalat to ye hai ke ab BJP ke andar bhi CAA ke khilaaf aawaz uthanay lagi hai, Is ki taaza misaal BJP ke senior leader C.K Bose hain C.K Bose ne CAA par apni party ko aaina dekhaya hai.
Shehriat tarmeem qanoon ke khilaaf ho rahi mukhalifat par BJP leader C.K Bose ne kaha mein ne apne party qayadat ko mashwara diya hai ke agar hum thoda sa tarmeem karte hain to ye tehreek khatam jaye gi, Hamein khaas tor se ye bitanay ki zaroorat hai ke ye mazloom aqlitoun ke liye bhi hai, Hamein is qanoon mein kisi mazhab ka zikar nahi karna chahiye, Hamara nuqta nazar mukhtalif hona chahiye.
C.K Bose ne mazeed kaha ke bill jab qanoon ban jata hai to ye reyasti hukoomatoun ko majaburan usay nafiz karna hota hai, Ye ek qanooni hesiyat hai lekin ye bhi haqeeqat hai ke ek jamhoori mulk mein aap mulk ke shehrioun par koi bhi qanoon musallat nahi satke hain. Unhoun ne kaha ke hamara kaam logoun ko ye samjhaana hai ke hum sahih hain aur oh ghalat hain. BJP leader ne kaha ke aap kisi ko gaali nahi day satke hain, Aaj hamaray paas number hai, Sirf is liye hum khauf ki siyasat nahi kar satke, Unhoun ne kaha ke aayiyae hum CAA ke fawaid ke barey mein logoun ko batatay hain. –YTN STAFF