Sharjah: Sharjah ki Police hukkaam ke mutabiq ye baat takreeban tey hai ke Abbco Tower mein khofnaak aag Cigarette ya Hoqqe ke angaroun se lagi thi. Tafseelaat ke mutabiq Sharjah Police ke qayem maqam Director General aur Forensic Laboratory ke sarbarah Brigadier Ahmed Haji ne kaha hai ke ye baat 90 feesad tey shuda hai ke aag Cigarette ya Shisha walay Huqqe ke angaroun se lagi.
Usay ( Huqqe ya Cigarette ko ) opper ki manzloun se phenka gaya tha aur ye 10 manzil par aa gaya tha jo ke Parking ke 9 levels ke baad pehla rehaishi Floor hai. Is waqeye mein kayi logoun ko mamooli chouten ayen jabkay 250 khandano ko imarat se baher nikala gaya tha. Sharjah Police ke qaim maqam Director General ke mutabiq 48 manzila imarat mein aag ne 333 Apartments ko nuqsaan pohanchaya jin mein se 233 abhi bhi band hain jinhein malikaan ki mojoodgi mein khoola jayega.
Unhoun ne mazeed kaha hai ke Police ne ab tak 100 Apartments ka muaina kiya hai jin mein se 26 mukammal tor par tabah ho chuke hain, Un mein se 34 aisay Apartments hain jinhein pani aur dhowen se nuqsaan pouncha jabkay 40 ke darwazay toot gaye hain. Imarat ka malba girnay se neechay khadi 16 gadiyoun ko nuqsaan pouncha jabkay imarat ke andar Parking mein mojood deegar 17 gadiyoun ko bhi malbay se nuqsaan pouncha.
Sharjah Civil Defence ke Director General Colonel Sami Al Naqbi ne kaha hai ke Abbco Tower ka bairooni hissa jis mawaad se tayyar kiya gaya tha is par 23 Meter se onche imaartoun par istemaal ke liye 2016 mein pabandi laga di gayi thi. Un ke bakol UAE mein aisi 150 Emiratein hain jinhein is mawaad (cladding) ko tabdeel karna hai.
Unhoun ne kaha hai ke tamirati kaam mein Cladding aakhri teh hoti hai jis se imarat ki khoob soorti mein bhi izafah hota hai. Sharjah Civil Defence ek programme shuru karne par ghhor kar rahi hai jis ke tehat imaartoun ke malikaan se kaha jayega ke wo purani Cladding ki jagah kam akhrajaat par mutabadil mawaad ka istemaal karen. Wazeh rahay ke UAE ki riyasat Sharjah ki 48 manzila imarat mein guzashta mangal ki raat khofnaak aag bharak uthi thi. Ye aag Sharjah ke ilaqay Al Nahda mai waqay Abbco Tower mein lagi jis se 9 afraad zakhmi hogaye they. –YTN STAFF