Trending News

Sharjah ke naib haakim Sheikh Ahmed ka intqaal

By News Desk Roman Urdu

July 10, 2020

Sharjah: Sharjah ke ewaan hukoomat ne elaan kiya hai ke Bartania mein qiyam ke douran Sharjah ke naib sarbarah Sheikh Ahmed bin Sultan Al Qasimi ka intqaal hogaya. Tafseelaat ke mutabiq ewaan hukoomat ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke Sharjah ke naib sarbarah Sheikh Ahmed Bin Sultan Al Qasimi ke inteqaal par Sharjah ke sarbarah Sheikh Dr Sultan Bin Mohammad Al Qasimi ki janib se ranj o malaal ka izhaar kiya gaya.

Sharjah ki hukoomat ki janib se kaha gaya hai ke 3 din tak qaumi parcham sar nagoun rahay ga. Amal daraamad Sheikh Ahmed Al Qasimi ka janaza Sharjah pounchanay aur tadfeen se shuru hoga. Sharjah ewaan hukoomat ne tavajja dilae hai ke 3 roza sog ke douran telephone ke zariye taaziyat wusool ki jaye gi. Is ki baabat taaziyat ki shuruvaat kab hogi is ka elaan jald kardiya jaye ga.

Yaad rahay ke Sharjah ke naib sarbarah Sheikh Ahmed Bin Sultan Al Qasimi Sharjah ke sabiq sarbarah Sheikh Mohammed Bin Saqr Bin Khalid Al Qasimi ke betay they aur Sheikh Sultan bin Muhammad bin Saqr Al-Qassimi ke sage bhai hain.