Chief Justice Pakistan ney Rukn e Assembly par 30 lakh ka jurmana aayed kya. party ney aik mah ke liye rukniat moattal kar di aur 5? lakh rupay edhi foundetion ko atiyah dainey aur 20 orthopedic mareezon ka ilaaj karwney ki hidayat di
Pakistan ke aik sobai Rukn e Assembly ko Karachi mein sar-e-aam aik shahri ko thapad maarna mahenga pad gaya. Rukn e Sindh Assembly ke Rukn Dr.Imran Ali Shah ke khilaaf na sirf un ki party Tehreek Insaf ney sakht karwai ki balkay Supreme Court ney bhi un par bhaari jurmana aayed kardiya. Dr. Imran Ali Shah ka aik video social media par viral hogaya tha jis mein unhon ney aik gaadi raan ko mehez is liye thapad maaray thay ke woh apni gaadi ko un ki gaadi se agay le jana chahta tha. Supreme Court ney is waqea ka az khud notice letay hue 30 lakh Pakistani rupay Dams Fund mein jama karwney ka hukum diya. Yahi nahi balkay khud un ki Party ney bhi karwai karte hue unhen aik mah ke liye party ki rukniat se moattal kardiya aur un par 5 lakh rupay Aidhi Foundetion ko atiyah dainey aur edhi trust ke sifarish kardah 20 orthopedic mareezon ka ilaaj karwney ki bhi hidayat di hai.
@Dr_imranshah
Apologise to that citizen
, tender written and video apology for your unacceptable violent behaviour @arifalivi @imrankhanPti@arysabirshakir #InsafiandemandAppology
RT @ArbabGM: Full video of PTI MPA beating a citizen. pic.twitter.com/fR4VDuNQSp— کٹی پتنگ (@SjPTI) August 14, 2018
Chief Justice Pakistan Justice Saqib Nisar ney tehreek insaaf ke Rukn e Sindh Assembly Imran Ali Shah ki janib se is waqea par maafi mangney par shahri tashadud az khud notice ki yaksoi karte hue inhen dem fund mein 30 lakh rupay jama karaney ka hukum day diya hai. Supreme Court Karachi registary mein Chief Justice Pakistan Justice Saqib Nisar ki sarbarahi mein Imran Ali Shah tashadud az khud notice ki samaat hui. Chief Justice ney Imran Shah ki sarzanish karte hue istefsaar kya ke aap ney kya soch kar shahri ko thapad mara, koi janwar ko bhi is tarha nahi maarta, yeh na qabil e maafi jurm hai, hum nahi choden ge, aap awam ke numainday hain toh iss tarha tashadud karen ge, mein bahar aata hon, mujhe maarkar dikhayen. jis par Imran Ali Shah ney izhaar e nadamat karte hue kaha ke sorry sir, mein sharminda hoon. Chief Justice ney Imran Shah se makalimay ke douran remarks diye ke kya sorry,mein ney bachpan mein mulazim ko belt se mara tha, mere waalid ney bhi mujhe do baar sabaq sikahney ke liye mara tha. Chief Justice ney tashadud ka nishana ban’ney walay Dawood Chauhan se istafsaar kya ke izzat ka koi muawza nahi hota, aap muawza le kar baith gaye, aap ney kyun maaf kya, jis par Dawood Chauhan ney kaha ke naamzad Governor mere ghar par chal kar aaye. Chief Justice ney Imran Shah se istafsaar kya ke aap ney kitney thapad maaray thay, Imran Shah ney bataya ke 4 thapad maaray thay, Chief Justice ney remarks diye ke aap ko bhi sar-e-aam isi tarha 4 thapad maaray jayen ge. Dawood Chauhan ney adalat ke rubaroo kaha ke mujh par paisey lene ka ilzaam lagaya gaya, Imran Shah par aik saal tak badi gaadi par pabandi aayed ki jaye, woh bhi hamari tarha safar karen, Dawood Chauhan ke betay ney jazbati hokar kaha ke PTI ki social media team ney hamaray khilaaf muhim chalayee, 3 social media mimbraan ney hamari tazheek ki, inhen kam az kam awaami numainda nahi rehna chahiye. Chief Justice ney remarks diye ke woh az khud karwai karte hue kisi par ahsaan nahi kar rahay hain, is tarha ke log firaon ban jatay hain, woh un ko sabaq sikhana chahtay hain. yeh barri gaari ke baghair nahi reh payen ge. Chief Justice ney Imran Shah ko mukhatib karte hue remarks diye ke logon ki izzat aur ehtram karna sikho, koi khayaal karo, logon ki tazheek karte ho, sar-e aam maffi mango. Adalti hukum par Imran Shah ney Dawwod Chauhan se maafi mangi aur usay galaay lagaya. Chief Justice ney Imran Ali Shah ki janib se maafi mangney par 30 lakh rupay Dams Fund mein jama karaney ka hukum dete hue maamla nimta diya.