India

Shaheen Bagh muzahira khatam karwanay Supreme Court mein darkhwast daakhil

By News Desk Roman Urdu

February 04, 2020

New Delhi: Supreme court ne qaumi dar ul hukumat Delhi ke Shaheen Bagh mein ehtijaj o muzahiray ko hataane se mutaliq darkhwast ki fori samaat ki appeal ke silsila mein mangal ke roz darkhwast guzar ko hidaayat di ke wo Mentioning registrar ke paas jayen. Darkhwast guzaar Nand kishwar Garg ki janib se chief Justice SA Bobde  ki sadarat wali bench ke samnay darkhwast ka khusoosi zekar kiya aur fori samaat ki darkhwast ki lekin adalat uzma ne darkhwast guzaar ku Mentioning registrar ke paas jaane ki hidaayat di.

Arzi mein mutalba kiya gaya hai ke Shaheen Bagh mein jari ehtijaj o muzahera ko khatam kiya jaye taakay Kalindi Kunj aur Shahoeen Bagh ka rasta phir se khil sakay. Neez is ke liye adalat uzma markazi hukoomat aur mutaliqa mehakma ko hukum jari kere. Arzi mein ye bhi mutalba kiya gaya hai ke awaami maqamat par dharna o muzahera par pabandi aed karne ke liye bhi adalat markazi hukoomat ko hidayat jari karne ka hukum day. Kalindi Kunj shaheen Bagh rasta band honay se musafiroun ko honay wali diqqatoun ka hawala dete hue darkhwast mein kaha gaya hai ke loog DND flayover aur Asharam jaisay mutabadil raastoun se safar karne par majaboor hain, Jis ki wajah se musafiroun ka qeemti waqt barbaad ho raha hai.

Doosri janib Shaheen Bagh mein muzahira kar rahi khawateen apne iraadoun par datti hui hain aur in ka muaqqaf hai ke ehtijaj is waqt tak jari rahay ga jab tak hukoomat ye nah kahe ke CAA nafiz nahi hoga. Muzahireen ne kaha hai ke aam logoun ko is muzahiray mein kuch pareshani ka saamna hai lekin hamara masla un ke maslay se ziyada bada hai. Wazeh rahay ke shaheen Bagh mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ), qaumi shehriat register ( NRC ), qaumi abadi register ( MPR) ke khilaaf 55 din se muzahiray jari hain. Is muzahiray ki wajah se Delhi se Noida jaane wala rasta jaam hai, Halaanke muzahireen Ambulance aur school Buses ko is rasta se guzarnay se nahi ruk rahay. –YTN STAFF