Business

Shah Salman ki janib se Yemen ke markazi Bank ko 20 Crore Dollar ki imdaad

By News Desk Roman Urdu

October 02, 2018

Khadim Al Harmain Al Sharifain Shah Salman bin Abdulaziz ney Yemen ke markazi Bank ko maali bohraan se bachanay ke liye 20 Crore Dollar ki fauri imdaad faraham karne ki hidaayat ki hai. Yeh imdaad aik aisay waqt mein jari karne ke liye kaha gaya hai jab doosri janib Saudi Arab Yemen mein jung se mutasirah shehrion ki imdaad aur bahaali ke liye kayi dosray mansoobon aur imdadi karwaiyon mein bhi paish hai. Saudi Arab ki sarkari khabar Rasan Agency ‘SPA’ ke mutabiq Shah Salman ki taraf se Yemen ke markazi Bank ko imdaad faraham karne ka maqsad Yemeni Currency ki qeemat mein kami ko rokna aur Bank ko maali bohraan se bachana hai. Saudi Arab ki taraf se Yemen ke markazi Bank ke liye yeh pheli imdaad nahi balkay Yemeni awam ko darpaish iqtisadi boojh kam karne ke liye Saudi Arab Yemen ke markazi Bank ko 3 Arab Dollar ki imdaad faraham kar chuka hai.