Cairo: Misri nojawan Syed Naseer jin ki chand mah qabal shadi huvi thi un ke alawa khandan ke 48 afraad corona ki waba ka shikaar hogaye. Tafseelaat ke mutabiq Syed Naseer ke khandan aur is ke deegar khandan waloun ki kahani is waqt shuru huvi jab un ke bemaar chacha tibbi muaina karwane dawakhana gaye.
Dr ne ye keh kar inhen wapas bhaij diya ke mamooli sardi lag gayi hai khatray ki koi baat nahi. Jab marz ne shiddat ikhtiyar ki to chand din baad dobarah dawakhana gaye aur iss martaba doctors ne kaha ke sakht nazla hogaya hai jis par test karaya gaya to pata chala ke wo corona ka shekar hujuke hai. Syed Naseer ne kaha ke chacha ke coronavirus mein mubtala honay ke 4 ghantay baad dadi jaan par corona ki alamtain namodaar huven test ka nateeja atay hi wo duniya se chal baseen.
Dadi ki mout par khandan 15 ghantay tak un ki maiyat ki tadfeen ke liye ek qabrestan se dosray qabrestan ke chakkar kaatta raha. Jahan bhi gaye aas paas ke bashinday virus ke phelnay ke dar se dadi ko dafnane se rokk dete thay. Aakhir-kaar gaon ke aabadi qabrestan mein gaya aur wahan dadi ki tadfeen huvi. Kuch din ke ander Syed Naseer ke 2 aur chacha coronavirus se mutasir hokar chal basey jabkay khandan ke 48 afraad coronavirus ka shikaar hogaye.
Syed Naseer ne kaha hai ke ghar waloun ne coronavirus ke bachao ke hifazati iqdamaat ki pabandi ki thi. Sab gharoun mein reh rahay they. Intahi zaroorat ke tehat hi baher nikaltay they, Pata nahi kab is marz mein mubtala hogaye. Aisa lagta hai ke corona ki waba har taraf se hamaray taqub mein hai. Syed Naseer ke khandan ke beishtar afraad corona mein mubtala hain magar un mein se kisi par bhi virus ki alamtain namodaar nahi huven. Syed Naseer aur is ke khandan ke mutadid afraad ko dawakhana se farigh kar diya gaya taham inhen mamool ki zindagi shuru karne se qabal 14 din tak quarantine ka waqt ghar mai guzaar ne ki hidayat de gayi hai. –YTN STAFF