Serial killer Ramulu

Slider

Serial killer Ramulu ke deegar khawateen ke muqadmaat mein mulawis honay ki tehqiqaat ka aaghaz

By News Desk Roman Urdu

January 29, 2021

Hyderabad: Matlooba serial killer meena Ramulu ki giraftari ke baad police ab yeh tehqiqaat kar rahi hai ke kiya woh padosi azlaa ke shehar Siddipet, Sangareddy, Medak aur deegar ilaqon mein namaloom khawateen ke haliya khatal ki wardatoun may mulawais hai.

Is serial killer ki giraftari ke baad police ne is muamle may ek khatoonke khatam may use maakhuz kiya hai jab ke ramulu ne khud siddipet

Police deegar hal talb-e-mamlat may us ke kirdar ki tasdeeq ke liye is ki naqal wo harkat ki tehqiqat kar rahi hai.

police ne yeh bhi pata lagaya hai ke Ramulu ko is se qabal bhi qatal ke muqadmaat mein mutadid baar giraftar kya gaya tha aur is mein 2019 mein do martaba iski giraftari bhi shaamil hai. Police ab tasdeeq kar rahi hai ke qatal ke mutadid muqadmaat mein mulzim honay ke bawajood woh mutadid baar zamanat haasil karne mein kis tarhan kamyaab raha aur un tamam mawaqay par iski zamanat mein kis ne madad ki.

Police ne hamsaaya azlaa mein khawateen ke qatal ke aisay tamam hal talb-e-muqadmaat ki bhi maloomat talabb ki hain, agar Ramulu ke istemaal mein laaye gaye numbaron ka un mein se kisi maqam per suragh lagaya jata hai to us se unhein mazeed zair-e-iltewa muqadmat ko hal karne may madad milegi.

Yahan is baat ka tazkara ahem hai ke is Ramulu ki biwi dosray aadmi ke liye Is se alehadgi ikhtiyar karli thi aur Ramulu 2003 se qatal wo gharat ke kayi mamlaat mein mulawis raha. Tab se ab tak is ne kam az kam 18 khawateen ko qatal kiya hai. Qaatil ne tamam 18 qatloon mein ek hi tareeqa kar ko apnaya hai  woh tanha tanha khawateen ko compounds mein dosti ke baad apne jaal mein phansa taa aur unko nashay dhut karta jiske baad ka qatal karta aur khatoon ki mout ke bati samaan lootta tha.