Slider

Senior sahafi raghavachari ka dehanth, mukhtalif qaideen ne pesh kiya kharaaj

By News Desk Roman Urdu

October 28, 2019

Hyderabad : Sabiq Senior sahafi aur ” Vishalandra  akhbar ke editor ”81 sala Chakravarthula Raghavachari ka peer ki subah ilaaj ke douran ek hospital mein Dehant hogaya.

Woh kuch arsa se aleel they, 10 September 1939 ko paeda hue, Raghavachari Warangal zila ke Palakurthi  Mandal ke Shatapuram  se talluq rakhtay hain. woh ek Maroof communist rehnuma bhi they aur ISF ke reyasti sadar ki haesiyat se talba tehreek ke liye un ki khidmaat bohat ziyada theen. Ragahvachari ne 1972 se 2005 tak 30 saal tak CPI aayi ke tarjuman akhbar ” Vishalandra   ke editor ki haesiyat se khidmaat anjaam diye.

Unhon ne CPI state control commission ke chairman aur CPI national control commission ke rukan ki haesiyat se bhi khidmaat anjaam diye. Raghavachari ki laash ko himayat nagar mein waqay CPI ke daftar, Makhdum bhavan muntaqil ki gayi jahan CPI ke leadron ne unko bhar poor kharaaj pesh kiya.

Sath hi Andhra pradesh ke wazeer-e-aala YS Jagan mohan reddy un ahem shaksiaat mein shaamil they, jinhon ne senior sahafi ki mout par inhen kharaaj pesh kiya. unhon ne apne taziyati payam mein kaha ke ”Raghavachari ek be los sahafi they, jo eqdaar par mabni sahaafat par yaqeen rakhtay they. sath hi KCR ne ghamzada arkaan khandan se taaziyat ka izhaar kiya. CPI ke rehnuma ram krishan ne kaha ke unki aakhri rusomaat paiir ki shaam ko ada ki jayengi. –YTN STAFF