Selaab ke mutasireen

Hyderabad

Selaab ke mutasireen ko imdaad, lakhoun hyderabadi hunooz raqam ke muntazir lekin siyasi leader khamosh

By News Desk Roman Urdu

December 15, 2020

Hyderabad: Hyderabad mein selaab ne jo haliya tabahi machai thi un zakhamo par greater hyderabad ke intikhabaat ne namak chiraknay ka kaam kiya hai kyunkay selaab ke mutasireen ko hukoomat ki taraf se fi kas 10 hazaar rupiye ki imdaad mil rahi thi lekin hyderabad ke baldi intikhabaat mein zabita e ikhlaq aur phir BJP ki janib se is imdaad ke khilaaf election commission mein shikayat karne ke baad yeh imdaad rokdi gayi. Awam ko umeed thi ke intikhabaat ke baad raqam ki taqseem ka dobarah aaghaz hoga lekin halaat ab mushkil hogaye hain.

Selaab ke shehri mutasireen ko maali madad ke liye hukoomat aur GHMC ke darmiyan behtar raabtey ke fuqdaan ki wajah se 1.3 laakh mutasireen ki madad barfdaan ki Nazar hochuki hai halaanke awam ki yeh badi tadaad ne ? mee seva ke zareya apne naam aur deegar tafseelaat darj karwai thi.

Hukoomat ne ibteda may? mee seva par online darkhwasten daakhil karne ki hidaayat di lekin is ke baad kaha diya gaya ke GHMC ke ohdedar selaab ke mutasireen se unke gharon par mulaqaat ke baad imdadi raqam bank mein jama kardeinge. Greater hyderabad municipal corporation aur revenue department ki janib se is silsila mein koi wazeh jawab nahi diya ja raha hai. Ibteda may mutasireen ko fi kas 10 hazaar rupiye ghar ghar taqseem kiye gaye jiske baad dosray marhalay mein imdadi raqam bank mein jama ki gayi.

mee seva mein taqreeban 3. 52 laakh darkhwasten daakhil ki gayeen jin mein se 2. 26 laakh mutasireen ke account mein raqam jama kardi gayi. 16 taa 19 November ke darmiyan yeh darkhwasten daakhil ki gayi theen. mutasireen is baat se bhi pareshan hain ke baldi intikhabaat ke baad siyasi jamaaton ne bhi is masla ko nazar andaz kardiya hai. sarkari adaad wo shumaar ke mutabiq municiple corporation ne 4.13 laakh khandano ko fi kis 10 hazaar rupiye ki imdaad hawalay ki hai. mee seva ke record aur ohdedaron ke daawa mein kaafi tazaad paaya jata hai aur ek laakh 30 hazaar mutasireen imdaad ke muntazir hain. intikhabaat ke paish e nazar imdadi taqseem ke kaam ko rok diya gaya tha. hukoomat ne 7 December ke baad raqam ki ajrayi ka wada kiya lekin baad mein muaqqaf tabdeel karte hue mee seva marakaz se rujoo ki zahmat na karne ki hidaayat di. commissionaire GHMC lokesh kumar ne kaha ke ohdedar mutasireen ke ghar pahonch kar nuqsanaat ka jaiza lenge jiske baad imdadi raqam jari ki jayegi.

GHMC ka daawa hai ke 8 aur 9 December ke darmiyan 17 crore 33 laakh rupaye jari kiye gaye jabkay 11 December tak 9 crore 79 laakh rupaye ki ajrayi amal mein aayi. 8 December se leker aaj tak 48. 23 crore jari karne ka daawa kiya gaya hai. Baldi intikhabi muhim ke douran siyasi jamaaton ne mutasireen ko yaqeen dilaya tha ke inhen nataij ke baad imdadi raqam ke liye hukoomat se numaindagi karen ge lekin nataij ke baad siyasi qaideen ne mutasireen ko be yaromddgar chod  diya hai aur ab lagta hai ke nah hukoomat ko, na siyasi jamaaton ko aur na hi siyasi leadron ko awam se koi hamdardi hai.