Slider

Selaab ke baad bhi Telangana mein reyasti Disaster Response Force ka qiyam hanooz baqi

By News Desk Roman Urdu

October 26, 2020

Hyderabad: Hyderabad jis ne taqreeban 100 barson ke baad selaab aur tughyani ka talkh tajurbah kiya hai aur barisho ke 2 hafton baad bhi senkdon aisay khandan hanooz aisay baqi hain jin ki zindagi shuru hona baqi hai lekin is se ziyada tashweesh ke baat yeh ke selaab ke baad bhi Telangana mein apna reyasti Disaster Response Force ka qiyam baqi hai.

Disaster Management se mutaliq qaumi policy 2009 ke tehat tajweez kardah qaumi Disaster Response Force ki terhan Telangana mein apni reyasti Disaster Response Force ( SDRF ) mojood nahi hai. Alawa azeen reyasti hukoomat awaami domain mein apne State Disaster Management Authority ( SDMA ) ke baray mein aisi koi maloomat faraham nahi karti hai jo Disaster Management Act 2005 ke mutabiq tarteeb di gayi ho, GHMC aur GWMC ke apne DRF hain jabkay bohat se reyaston bashmole AP ne reyasti satah ke DRF tayyar karliye hain jo mukhtalif ilaqon mein qaim hain.

Deegar reyaston ke bar aks Telangana SDMA ki apni Website nahi hai. Nah hi hukoomat ne awaami domain mein is ke baray mein koi maloomat faraham ki hai. Beshtar reyaston ke SDMA ki apni web saytin hain jo Disaster Management Plan ke baray mein bhi tafseelaat faraham karti hain. Taham Telangana ke apne DMPK baray mein koi maloomat dastyab nahi hai aur is ki Website par sirf GHMC ka musevida DMP dastyab hai. Maloom karne par pata chala ke Hyderabad samait beshtar azlaa ne Disaster Management se mutaliq saz-o-samaan aur Human Power ki wasail ki Inventory se mutaliq markaz ke Indian Disaster Reservoir Network Portal par data Upload nahi kiya hai.

Markaz ki Report mein reyaston ke liye reyaston mein Disaster Score Card mein Disaster lachak Index mein Telangana ko tamam reyaston mein 19 maqam tha. Is mah aur is se qabal mukhtalif azlaa mein Hyderabad mein anay walay tabah kun selaab ne tabahi se mehfooz rehne ke intizamaa ke liye thos tarz rasai ki zaroorat par roshni daali hai aur reyasti kamzoriyon ka ujagar kardiya hai.

TSIRD mein maholiyaat aur afaat se nimatnay ke center ke sabiq sarbarah Nageshwar Rao ne kaha s DMA ya District Disaster Management Authority ko laazmi tor par mutharrak tanzeem ban-na zaroori hai jo halaat ka baqaidagi se jaiza le sakay. NDMA ki taraf se mukhtalif rehnumaiyana khutoot mojood hain jin par amal pera hona zaroori hai, Is mein reyasti satah ka DRF bhi shaamil hai.