Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad ke mukhtalif ilaqoun mein aabi bohraan shadeed se shadeed tareen hota ja raha hai aur khaas kar Hyderabad ke judwan shehar Secunderabad ke ahem mehloun karkhana aur Marredpally ke ilaqoun mein pani haftay mein ek din sarbarah kiya ja raha hai jis se yahan ke awam ko aabi qillat ka saamna karna padh raha hai .
Karkhanay ka ilaqa aabi qillat se shadeed mutasir hai halaanke is ilaqay mein taqreeban 13 hazaar pani ke nal moujood hain lekin yeh tamam ke tamam band padhe hain, muqami awam ki janib se mutadid martaba hukkaam aur arbab-e-majaz se shikayat karne ke bawajood masail jonke ton baqi hain. is zimn mein media numainday se izhaar-e-khayaal karte hue karkhana ki Grahist khatoon Ishrat jahan ne kaha ke hamein haftay mein ek din pani sarbarah kiya ja raha hai aur is ka pressure bhi intehai kam hota hai jis ki wajah se ghanta daidh ghanta sakht jad-o-jehad karne ke bawajood pani itna kam mil raha hai ke yeh zaroorat zindagi poora nahi kar pa raha hai . Secunderabad Cantonment board ( SCB) apne hudood mein 10 maqamat ke awam ko jin ki tadaad 3.5 laakh hai aur yeh ilaqay 40.1 sath murabba kilometer par muheet hai aabi sarbarahi ki zimmedari poori karta hai, lekin pani ke qillat ki wajah se woh apne ilaqay mein awam ko matlooba miqdaar mein pani faraham nahi kar pa raha hai. SCB ne water board maktoob tehreer karte hue kaha ke woh maali masail ki wajah se water bless ki adaigi se qassar hai jo-ke mahana 2.5 crore rupay hain kyunkay is ilaqay mein kayi aisay nal connection hain jo-ke ghair majaz honay ki wajah se unke bil wusool nahi kiye jasakte lehaza water board jab tak un ghair majaz conection ko bazabta conection ke zamray mein daakhil nahi karta iski bills adaigi ka masla aisay hi darpaish rahayga. Darin-e-asna karkhanay mein ek tamirati site ke paas guzashta do dinon se Borewell ki khudayi ho rahi hai halaanke pani ke husool ke liye 500 foot tak khudayi ki ja chuki hai lekin iske bawajood is mein hunooz pani nahi aaya hai, kyunkay sara ilaqa khushk hochuka hai. Mausam-e-garma ke urooj par pohanchanay ki wajah se bhi zair-e-zameen pani ki satah bohat neechay ja chuki hai jis ki wajah se mein bhi pani aana band hochuka hai .
karkhanay ke awam ke liye aabi sarbarahi ka ab wahid rasta khangi water tanker hain. karkhanay mein moujood Ameer tareen colonies may khangi water tankers ke zariye pani faraham kiya ja raha hai lekin karkhanay ki Jama masjid aur iske atraaf mojood Mutwast tabqay ke awam ko pani ka husool ek sangeen masla ban chuka hai jis ki taraf arbab-e-majaz aur siyasi qaideen ko jald-az-jald tavajj markooz karte hue mausam-e-garma aur aindah chand dinon mein mah-e-Ramadaan ul mubarak ke shuru honay se qabal yahan ke awam ke liye pani ki sarbarahi ko yakeeni banana hoga. –YTN STAFF