Hyderabad

Secunderabad Halqay Mein Seh Rukhi Muqaabla, Secular Votes Ki Congress Aur Trs Mein Taqseem Ka Khadsha

By News Desk Roman Urdu

April 08, 2019

Hyderabad: Aam intikhabaat ke paish-e-nazar Telangana ke Dar-ul-hukoomat Hyderabad aur Secunderabad par sab ki nazrein markooz hain jaissa ke sab jantay hain ke Hyderabad mein  AIMIM ke umeed waar ki kamyabi yaqeeni tasawwur ki jarahi hai jabkay Secunderabad  mein muqaabla surkhi hai, jahan congress nay apne sabiq rukan-e-parliment Anjani kumar Yadav  ko phir ek martaba maidan mein utaara hai jabkay BJP nay apne sabiq rukan-e-parliment Bandaaru Dataterya ke maqam par G. Kishan Reddy  ko ticket diya hai jabkay riyasat tlnganh mein brsraqtdar TRS ney apne mustahkam muaqqaf ke paish-e-nazar nojawan umeed waar Talsani sai kiran par bharosa kiya hai .

Anjani Kumar Yadav ki Umar 57 saal hai jabkay BJP ke hareef Kisharn Reddy  bhi zindagi ki 54 baharen dekh chuke hain, TRS ke umeed waar ki umr sirf 32 baras hai aur  talaimi aitbaar se bhi woh apne dono hareefon se kahin ziyada taleem Yafta hain, kyunkay unhon ney MBA ki taleem mukammal ki hai jabkay Anjani Kumar Yadav  B.A ki degree rakhtay hain aur Kishan Reddy  ke naam sirf Diploma tehreer hai .

Secunderabad  assembly halqa ki nishist guzashta kayi dahaiyo se congress aur BJP ke darmiyan taqseem hoti rahi hai lekin is martaba riyasat mein barsar iqtedar jamaat TRS ko apni haliya assembly intikhabaat ke paish-e-nazar kamyabi ki ziyada umeed hai . BJP ke umeed waar Datatriya ney pehli martaba 1991 mein congress se yeh nishist cheen li thi lekin 1996 mein inhen yeh nishist ganwane padi aur 1998 phir 1999 mein BJP ney dobarah yahan kamyabi haasil ki thi lekin 2004 taa 2014 mein is nishist par congress ke umeed waar Anjani kumar Yadav ka qabza raha lekin 2014 mein Hindustan bhar mein jab Modi lehar chal rahi thi tab Datatriya ney yahan kamyabi haasil ki lekin is martaba unke maqam par Amberpet ke rukan assembly Kishan Reddy  ko un ki saaf shanakht ki wajah se azmaane ka faisla kiya gaya hai .

Secunderabad  halqa mein mein barsar iqtedar TRS ney 32 sala Sai Kiran  ki taleemi qabliyat MBA hai, ko ticket diya hai halaanke sai kiran siyasi halqoun mein ghair Maroof chehra hain lekin TRS ko umeed hai ke awam ney jis tarha assembly intikhabaat mein party ko shandaar andaaz mein kamyaab banaya hai isi tarha lok sabha intikhabaat mein party ke umeed waar ko awam ki himayat haasil rahay gi. Secunderabad  halqa mein 7 assembly halqay shaamil hain jo ke jubilee hills, Nampally , Khairtabad, Amberpet, Musheerabad, Secunderabad  aur Sanatnagar hain .

Secunderabad  mein raye dahindou ki jumla tadaad 19 laakh 54 hazaar 813 hai jis mein mard voters ki tadaad 10,54,813 hai jabkay khatoon raye dahinou ki tadaad 9,35,844 hai aur teesri jins ke 57 naam darj hain .

congress ke umeed waar Anjani kumar Yadav  ko Secunderabad  halqay mein baadshagar kirdaar ada karnay walay muslim aur yadav voters ki himayat aur apni kamyabi ki umeed hai jabkay BJP ke umeed waar Kishan Reddy  Modi factor aur apne shafaaf kirdaar se kamyaab honay ki umeed hai jabkay TRS ke nojawan umeed sai kiran ko awam ki party ko haasil himayat se apni kamyabi ka poora yaqeen hai. un tamam halaat ke bawajood muslim awam mein yeh be cheeni payi jati hai ke TRS aur congress ke umeed waar ko kamyaab bananay ki koshish mein kahin seculars votes ki taqseem to nahi hogi aur is ka BJP ko faida to nahi hoga is ke liye hikmat-e-amali ka bhi fuqdaan dikhayi day raha hai . –YTN STAFF