India

Covid mutasiren ke liye muft Ambulance Service: SDPI

By News Desk Roman Urdu

August 11, 2020

Mysore: Social Democratic Party Of India ( SDPI Mysore ki janib se qawayedd mutasireen ke liye Ambulance ki muft khidmat ka ۤaghaz SDPI qaumi general secretary Abdul Majid KH ney parcham lehra kar kiya. Is mauqa par Mualana Nooruddin ney apne khitaab mein kaha ke Social Democratic Party of India Mysore ki janib se millat ki khidmat ke liye jo behtareen service shuru ki gayi hai wo qabil sataish hai. Jab bhi jaisay bhi mauqa miley chahay wo mulk ki taamer-o-taraqqi ka ho ya insaaniyat ki khidmat ka ho ya qoum ka masla ho har haal mein hamesha maidan mein nazar anay wali soshil Democratic Party of India” ne shehar Mysore ke liye 24 ghantay corona mareezon ke liye Ambulance ki muft service jari ki hai jo InshaAllah har waqt mareezon ki khidmat ke liye tayyar hai. Kitnay mareez aisay hain jo hukoomat ki taraf se di jaane wali service ke intzaar mein reh kar apni tabiyat kharab kar rahay hain aur ziyada nuqsaan utha rahay hain jo waqt par nah milnay ki wajah se ye sab ho raha hai.

Isko madad nazar rakhtay hue ke mazeed qoum ka nuqsaan nah ho ye service jari ki gayi hai hukoomat bhi is baat par zor day rahi hai ke khud loog apni aur apni qoum ki muhallay ki hifazat karen to aisay waqt mein qoum mein baydaari peda karna aur logon ko sahih rahbari karna aur ilaaj-o-mualjay ke silsilay mein rahnumai karna ye sab hamaray zimma hai.

Alhamdulillah isi wajhe se Social Democratic Party of India ney ek haft roza programme gali mohalla ghoom phir kar chalaya jo kaafi maqbool raha aur loog jo daray hue they unkay andar se dar nikaalne ki koshish ki aur logon se Appeal kiya gaya ke aur logon se Appeal kiya gaya ke wo khoob ahthyat barten.

Social Democratic Party of India ki janib se mohalla Clinic ke Doctors se adaban guzarish karte hain ke wo mareezon ke ilaaj mein koi kasar nah choden aur sahih tashkiz karen aur logoun se bhi guzarish karte hain ke wo bimarion ko hargiz hargiz nah chupayen sahih waqt par ilaaj nah hona bhi mout ka sabab ban jata hai is liye beedar rahen aur mehfooz rahen. Is mauqa par party state committee mumbar Amjad Khan deegar qaideen-o-imaideen shareek rahay.