Trending News

Saudi wizarat: Arafat mein Hajjaj ki sahet itminan bakhash

By News Desk Roman Urdu

July 31, 2020

Riyadh: Saudi wizarat sahet ke tarjuman Dr Mohammad Al-Abdulaali ne kaha hai ke tamam Hajjaj ki sahet tasalii bakhash hai. Field aur Medical teams har jagah Hajjaj ke hamrah hain. Har jagah un ki sahet ke barey mein itminan haasil kar rahi hain. Interview main wizarat sahet ke tarjuman Al-Abdulaali  ne kaha ke tamam hajjion ki sahet achi hai. Ab tak koi bhi mutaddi marz Record par nahi aaya.

Al-Abdulaali ne kaha hai ke is saal Hajj mausam ke liye sahet Schemes mamooli baton ko mad-e-nazar rakh kar tayyar ki gayi hain. Corona waba se mutaliq tamam hungami tadabeer tayyar hain. Tarjuman ne kaha ke ab tak un se istifaday ki koi zaroorat pesh nahi aayi. Hajjaj Mina se Arfat sahet-o-salamti ke sath poanch gaye. Wizarat sahet ke tarjuman ne mazeed kaha ke nah sirf ye ke Hajjaj ko un ki rahaish par sahet saholatin muhayya ki jarahi hain balkay wo jahan bhi kisi Hajj amal ke liye nikal rahay hain inhen sahet khidmaat muhayya hain.

Is se qabal Saudi wizarat sahet ne kaha tha ke is saal ghair mamooli Hajj mausam ke douran Hajj maqamat par koi bhi Haji Corona se mutasir nahi paaya gaya. Hajj media center mein sahet Bulletin ke sath Security Force ki tayario aur Hajj khidmaat ke baaray mein bhi tafseelaat faraham ki jarahi hain.