Slider

Saudi Visas mein towsee aur rehaishi ijazat namay

By News Desk Roman Urdu

September 08, 2020

Jeddah: Saudi Arab ke General Directorate Passport ( Juwazat ) nay Coronavirus ke wabai amraaz ke baad elaan kardah bain ul aqwami parwazon ki muatali ke baais beron mulk phasay hue, Beron mulk muqeem afraad ki dobarah wapsi Saudi Visas mein towsee kar di hai. Ek maheena taweel towsee ke liye koi Fees wusool nahi ki jaye gi, Jo un tamam ghair mulkion par bhi laago hoti hai jo Saudi mein hain lekin jin ka kharji rasta sarhadoon ki bandish ki wajah se khatam hogaya hai.

Is faislay ka itlaq un mazdoron aur gharelo mulazimeen par hota hai jin ke rehaishi ijazat naame ( Iqama ) beron mulk qiyam ki meyaad ki wajah se khatam ho chukay hain, Aur ju Lockdown ke safar ki pabandion ki wajah se Saudi wapas nahi aasakay. Visa mein ek mah taq towsee ke liye koi fees nahi li jaye gi. Aur towsee khud bakhud hogi.

Is mein ghair mulki ikhraj ke Visa ke liye muft towsee bhi shaamil hai jo mulk chodney se qassar they. Saudi Visas mein 30 September taq towsee ki gayi hai. Tijarti peshon mein kaam karne walay afraad aur jo Saudi Arab wapas jaany ke muntazir hain, Un ko bhi Iqama mein towsee mein shaamil kiya jata hai, Bashart e kay un ke ijazat naamon ki meyaad yakam August se 31 August ke darmain khatam hojaye.