Paris : France mein ek mazdoor ko Muhafiz ke hathoun mubayyana tor par tashadud ka nishana banwane wali Saudi walii ehad Mohammad bin Salman ki behan ko 10 mah moattal qaid aur jurmane ki saza sunai gayi hai.
Report ke mutabiq September 2016 mein Paris ke paash ilaqay Avenue fosh mein waqay apartment mein Mohammad bin Salman ki behan Hassa Binte Salman ne ek mulazim ko Muhafiz ke hathon tashadud ka nishana banwaya tha aur is hawalay se adalti karwai ka aaghaz July 2019 mein hua tha.
Saudi shehzadi ke khilaaf decemeber mein giraftari ke warrant bhi jari hue they jabkay ab Paris ki adalat ne inhen 10 mah ki moattal qaid ke sath 10 hazaar Euro jurmana ada karne ka hukum bhi diya hai.
42 sala shehzadi adalat mein kisi bhi samaat ke douran paish nahi huien aur inhen wakeel ki janib se mutalba ki gayi sazaoun se ziyada sakht sazayen sunai gayi hain. wakeel ne 6 mah moattal qaid aur 5 hazaar Euro jrmane ki sazaoun ka mutalba kiya tha.
Hassa Binte Salman par ilzaam hai ke unhon ne apne Muhafiz Rani Sidi ko hukum diya tha ke plumber Ashraf eid ki pitai ki jaye kyunkay woh unke ghar ki tasaveer le raha tha. Saudi shehzadi par danista tashadud, ghair qanooni tor par qaid aur chori ki daf-aat ke tehat fard jurm aaed ki gayi thi, taham woh kisi samaat ke douran adalat mein paish nahi huien balkay unka Muhafiz hi adalat mein paish hua, jisay 8 mah ki moattal saza aur 5 hazaar euro jrmane ki sazayen sunai gayeen.
Saudi shehzadi aur unke Muhafiz ke wukla ne saza sunaye janey ke baad kaha ke woh is ke khilaaf appeal karenge kyunkay yeh muqadma be bunyaad shawahid par mabni tha jabkay Ashraf ki sargarmia bhi sawalia hain jis ne is waqea ke chand dinon baad hi 21 hazaar euro ka bail diya tha.
Hassa Binte Salman ke wakeel ke mutabiq Ashraf ke bayanaat ka bada hissa khayaali tha aur usay kabhi bhi apartment mein zabardasti nahi roka gaya tha. unhon ne mazeed kaha ke hum Hassa Binte Salman ki be gunahi ko court mein saabit karenge.
Muhafiz ke wakeel yaseen ne faislay ko haeran kan qarar diya aur shikayat ki hai ke ahem anasir ko nazar andaaz kiya gaya jo unke moakil ko begunah saabit karte hain. Ashraf ko Saudi shehzadi ke flat mein talabb kiya gaya tha taakay woh ek wash besan ki marammat kar sakay aur isne bath room ki tasaveer li theen jo is ne tafteesh ke duwaan apne kaam ki zaroorat qarar di theen.
khayaal rahay ke tashadud ka nishana ban’nay walay Ashraf ka apne bayan mein muaqqaf tha ke unke haath bandh kar shehzadi ke paon ka bosa lainay ka hukum diya gaya tha, jin ke mutaliq khayaal kiya jata hai ke unki Umar 40 saal se ziyada hai aur inhen Saudi arab ke sarkari media mein apne falahi kamon aur khawateen ke huqooq ki muhim mein sargaram khatoon ke tor par paish kya jata hai.
Mulazim ne daawa kiya ke baad azan inhen maara petta gaya jo kayi ghantay tak jari raha, is douran unke ozaar bhi qabzay mein le liye gaye they. France ke news magazine ko diye gaye bayan mein karigar ne kaha ke shehzadi ne chikhte hue kaha tha usay qatal kardo, usay jeeney ka koi haq nahi. –YTN STAFF