Latest News

Saudi shehrioun ke liye rozgaar faraham karne ke liye khusoosi programme muta-arif

By News Desk Roman Urdu

December 06, 2019

Riyadh: Saudi wizarat khazana ne BA aur MA pass karkay rozgaar ki talaash mein ghoomnay walay Saudi nojawanoun ke liye khusoosi rozgaar programme ka elaan kardiya. Tafseelaat ke mutabiq aisay Saudi ladkoun aur ladkiyoun ko jinhoun ne 4 baras ke andar BA ya MA ki degree haasil ki ho aur inhen rozgaar na mila ho un ke liye rozgaar tarbiyat programme muta-arif karwaya hai. Inhen rozgaar ke liye matloob istedad faraham ki jaye gi. Rozgaar ke liye darkaar tajurbah muhayya kiya jaye ga. Ye saaray kaam taleemi-o-tarbiati course ke zariye anjaam diye jayenge.

Is programme mein aisay Ladkoun aur ladkiyoun ko liya jaye ga ju zaheen, mehnati aur munfarid ahliat rakhtay hon ge. Tarbiati-o-Taleemi rozgaar programme 18 mah ka hoga. Programme mukammal karne par ladkoun aur ladkiyoun ko mulazimat muhayya ki jaye gi. Programme shuru karne se qabal wo jis grade mein honge programme mukammal karne par unhoune 2 izafi grade diye jayenge. Rozgaar programme ke umeedwaroun ko tarbiyat ke sath barsar rozgaar bhi shumaar kiya jayega. Wizarat khazana ne Saudi shehrioun se kaha hai ke wo 8 decemeber 2019 se le kar 5 din tak wizarat ki Website par rozgaar programme ke liye indraaj kar wasakte hain.

Yaad rahay ke Saudi Arab mein mulazimat ke mutlashi Saudi naojawanoun ku ye yaqeen hojala hai ke sarkari idaroun mein mulazimat ke baghair koi charah kar nahi. Sarkari mulaazmaten kam aur na qabil qubool kyun na hon unki tankhwahien kam kyun na hon ye mustaqil hoti hain. Unkay jaaney ka koi khatrah nahi hota. Tankhwahoun mein izafah aur taraqqi ka silsila muqarara qawaneen-o-zawabit ke mutabiq chalta rehta hai. Ye ehsas aksar Saudi nojawanoun mein wizarat mehnat ki janib se jari kardah mulazimatoun ke ahwaal dekhnay aur samajh ne ke bad khaas tor par peda huwa hai.

Wizarat mehnat ne retail ke shobo aur tijarati marakaz ki mulazimatoun ki Saudization programme ke mutabiq jin mulazimtoun ka elaan kiya hai ek to unki tankhawhin mamooli hain. Dowwam ye mulaazmaten BA, MA ki degreeian rakhnay waloun aur mukhtalif shobo mein mahaarat ke sanad rakhnay waloun ke liye mozoon nahi. Ziyada tar be rozgaar aur mulazimat ke mutlashi yahi loog hain. –YTN STAFF